Sir Syed Ahmad Khan
Article 22
Quote 10
Be-ilmi muflisi ki maan hai. jis qaum mein ilm-o-hunar nahi rahta wahaan muflisi aati hai aur jab muflisi aati hai to hazaaron jurmon ke sarzad hone ka baais hoti hai.
(taqreer-e-jalsa-e-azeemaabaad paṭna, 26 may)

Hum log aapas mein kisi ko hindu, kisi ko musalmaan kahein magar ghair-mulk mein hum sab native yaani hindustaani kahlaaye jaate hain. ghair-mulk waale khuda-bakhsh aur ganga raam donon ko hindustaani kahte hain.
(taqreer-e-sir sayyad jo anjuman islamiya, amṛitsar ke address ke jawaab mein 26 January 1884 AD. ko ki gaee)

Lahja: Isko bhi tahzeeb mein bada daakhal hai. akkhad lahja is qism ki aawaaz jisse shubha ho ki aadmi bolte hain ya jaanavar ladte hain, na-shaista hone ki nishaani hai.

Main apni zabaan se wo muraad leta hun jo kisi mulk mein is tarah par mustaamal ho ki har shakhs usko samajhta ho aur wo us mein baat-cheet karta ho. Khwaah wo us mulk ki asli zabaan ho ya na ho aur usi zabaan par main varanekular ke lafz ka istemaal karta hun.
(taqreer-e-banaaras, 20 September 1867)