Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Siraj Alam Zakhmi's Photo'

Siraj Alam Zakhmi

1984 | Saudi Arabia

Siraj Alam Zakhmi

Ghazal 5

 

Sher-o-Shayari 11

bikharte TūTte lamhoñ meñ aisā lagtā hai

mirā gumān hai aur tirā qayās huuñ maiñ

bikharte TuTte lamhon mein aisa lagta hai

mera guman hai tu aur tera qayas hun main

  • Share this

dil meñ tūfān nahīñ aañkh meñ sailāb nahīñ

aise jiine se to behtar thā ki mar jaate

dil mein tufan nahin aankh mein sailab nahin

aise jine se to behtar tha ki mar hi jate

  • Share this

itnā na duur jaao ki jiinā muhāl ho

yuuñ bhī na paas aao ki dam nikal paḌe

itna na dur jao ki jina muhaal ho

yun bhi na pas aao ki dam hi nikal paDe

  • Share this

ḳhud ko bachā.ūñ jism sambhālūñ ki ruuh ko

bikhrā huā hai dard yahāñ se vahāñ talak

KHud ko bachaun jism sambhaalun ki ruh ko

bikhra hua hai dard yahan se wahan talak

  • Share this

kyā hamsarī ham se tamannā kare koī

ham ḳhud bhī apne qad ke barābar na ho sake

kya hamsari ki hum se tamanna kare koi

hum KHud bhi apne qad ke barabar na ho sake

  • Share this

BOOKS 1

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now