Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Tabish Kamal's Photo'

Tabish Kamal

Tabish Kamal

Ghazal 8

Nazm 11

Sher-o-Shayari 10

utar gayā hai rag-o-pai meñ zā.iqa us

ajiib shahad kal raat us zabān meñ thā

utar gaya hai rag-o-pai mein zaiqa us ka

ajib shahad sa kal raat us zaban mein tha

zamāne se alag thī merī duniyā

maiñ us dauḌ meñ shāmil nahīñ thā

zamane se alag thi meri duniya

main us ki dauD mein shamil nahin tha

ka.ī paḌāv the manzil raah meñ 'tābish'

mire nasīb meñ lekin safar kuchh aur se the

kai paDaw the manzil ki rah mein 'tabish'

mere nasib mein lekin safar kuchh aur se the

ajab yaqīn us shaḳhs ke gumān meñ thā

vo baat karte hue bhī na.ī uḌaan meñ thā

ajab yaqin sa us shaKHs ke guman mein tha

wo baat karte hue bhi nai uDan mein tha

jis ne insāñ se mohabbat nahīñ 'tābish'

us ko kyā ilm ki pindār se aage kyā hai

jis ne insan se mohabbat hi nahin ki 'tabish'

us ko kya ilm ki pindar se aage kya hai

Audios 9

apnii saal-girah par

be-gharii

bil-jabr

Recitation

Recitation

Speak Now