Sher of Talib Jaipuri
be-ḳhudī meñ ham to terā dar samajh kar jhuk ga.e
ab ḳhudā ma.alūm ka.aba thā ki vo but-ḳhāna thā
be-KHudi mein hum to tera dar samajh kar jhuk gae
ab KHuda malum kaba tha ki wo but-KHana tha
na āñkhoñ meñ aañsū na lab par tabassum
mohabbat meñ aise bhī lamhāt aa.e
na aankhon mein aansu na lab par tabassum
mohabbat mein aise bhi lamhat aae
un kī taraf bhī dekho zarā ai gadā-navāz
dāman hī tere sāmne phailā ke rah ga.e
un ki taraf bhi dekho zara ai gada-nawaz
daman hi tere samne phaila ke rah gae