Sher of Tauqeer Ahmad
zabāñ ḳhāmosh magar nazroñ meñ ujālā dekhā
us kā iz.hār-e-mohabbat bhī nirālā dekhā
zaban KHamosh magar nazron mein ujala dekha
us ka izhaar-e-mohabbat bhi nirala dekha
yuuñ achānak na zulfeñ bikherā karo
dil to nādān hai bahak bhī saktā hai
yun achanak na zulfen bikhera karo
dil to nadan hai bahak bhi sakta hai
aaj kī raat mujhe hosh meñ rahne do abhī
aaj kī raat koī āñkhoñ se pilā.egā mujhe
aaj ki raat mujhe hosh mein rahne do abhi
aaj ki raat koi aankhon se pilaega mujhe
zarā sambhalūñ bhī to vo āñkhoñ se pilā detā hai
merā mahbūb mujhe hosh meñ rahne nahīñ detā
zara sambhalun bhi to wo aankhon se pila deta hai
mera mahbub mujhe hosh mein rahne nahin deta
is qadar TuuT kar merī nazroñ meñ na dekho varna
tumhārī nazroñ ko merī nazroñ kī nazar na lag jaa.e
is qadar TuT kar meri nazron mein na dekho warna
tumhaari nazron ko meri nazron ki nazar na lag jae
maza to ishq kā tab hai ki ek pal ko sahī
jhukī nazar vo uThā deñ aur maiñ salām karūñ
maza to ishq ka tab hai ki ek pal ko sahi
jhuki nazar wo uTha den aur main salam karun
nādān merā dil bahak jaa.e na kahīñ
shānoñ pe gesūoñ ko bikherā na kījiye
nadan mera dil bahak jae na kahin
shanon pe gesuon ko bikhera na kijiye