Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Wafa Shahjahanpuri

Wafa Shahjahanpuri

Sher-o-Shayari 4

martā huuñ havas meñ ġham-e-jāved varna

jiine ko tire hijr ik shaam bahut hai

marta hun hawas mein gham-e-jawed ki warna

jine ko tere hijr ki ek sham bahut hai

  • Share this

mujh ko havas-e-bāda-o-sāġhar nahīñ saaqī

un mast nigāhoñ bas ik jaam bahut hai

mujh ko hawas-e-baada-o-saghar nahin saqi

un mast nigahon ka bas ek jam bahut hai

  • Share this

nazroñ tashaffī bhī kar de koī sāmāñ

dil ke to bahalne ko tirā naam bahut hai

nazron ki tashaffi ka bhi kar de koi saman

dil ke to bahalne ko tera nam bahut hai

  • Share this

ye kyā hai ki zikr-e-ġham-e-ayyām bahut hai

shīshe meñ abhī to mai-e-gulfām bahut hai

ye kya hai ki zikr-e-gham-e-ayyam bahut hai

shishe mein abhi to mai-e-gulfam bahut hai

  • Share this

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now