Sher of Yasir Malik
chhoTe se ik ā.īne meñ chehra qaid hai vaise hī
jaise ik kirdār ke andar ek kahānī hotī hai
chhoTe se ek aaine mein chehra qaid hai waise hi
jaise ek kirdar ke andar ek kahani hoti hai
maut ne aa kar bachāyā phir mujhe
dard ne jab zindagī se baat kī
maut ne aa kar bachaya phir mujhe
dard ne jab zindagi se baat ki
vahm hotā hai mar gayā huuñ maiñ
aise ḳhadshāt se laḌā.ī hai
wahm hota hai mar gaya hun main
aise KHadshat se laDai hai
mire sapne mirī palkoñ kī had meñ rah ga.e dekho
nikal paayā nahīñ maiñ in darīchoñ se kabhī aage
mere sapne meri palkon ki had mein rah gae dekho
nikal paya nahin main in darichon se kabhi aage
tum ne chhuā to dil ye dhaḌkā mirā vagarna
patthar kā ho gayā thā ḳhāmosh baiThe baiThe
tum ne chhua to dil ye dhaDka mera wagarna
patthar ka ho gaya tha KHamosh baiThe baiThe