aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1996 | Delhi, India
dard-e-dil zindagī kī ḳhushī pī gayā
ik samundar hamārī nadī pī gayā
dard-e-dil zindagi ki KHushi pi gaya
ek samundar hamari nadi pi gaya
ye abr-e-nau hamāre kisī kaam kā nahīñ
un ko pasand hī nahīñ bārish meñ bhīgnā
ye abr-e-nau hamare kisi kaam ka nahin
un ko pasand hi nahin barish mein bhigna
jo tum na hogī to dil havelī sarā.e hogī
sarā.e jis meñ hasīn chehre rukā kareñge
jo tum na hogi to dil haweli sarae hogi
sarae jis mein hasin chehre ruka karenge
pahle tū ik jhūTe ġham meñ miT jaane kā nāTak rach
phir duniyā ko jā jā kar batlā tū kitne dukh meñ hai
pahle tu ek jhuTe gham mein miT jaane ka naTak rach
phir duniya ko ja ja kar batla tu kitne dukh mein hai
us ne din jaldī Dhalne kī ḳhvāhish kī
dhartī ne raftār baḌhā dī gardish kī
us ne din jaldi Dhalne ki KHwahish ki
dharti ne raftar baDha di gardish ki
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books