Yasmeen Habeeb
Ghazal 14
Sher-o-Shayari 15
hameñ bhī tajraba hai be-gharī kā chhat na hone kā
darinde, bijliyāñ, kaalī ghaTā.eñ shor kartī haiñ
hamein bhi tajraba hai be-ghari ka chhat na hone ka
darinde, bijliyan, kali ghaTaen shor karti hain
-
Share this
- See Ghazal
jo chalā gayā so chalā gayā jo hai paas us kā ḳhayāl rakh
jo luTā diyā use bhuul jā jo bachā hai us ko sambhāl rakh
jo chala gaya so chala gaya jo hai pas us ka KHayal rakh
jo luTa diya use bhul ja jo bacha hai us ko sambhaal rakh
-
Share this
- See Ghazal
aate rahte haiñ falak se bhī ishāre kuchh na kuchh
baat kar lete haiñ ham se chāñd taare kuchh na kuchh
aate rahte hain falak se bhi ishaare kuchh na kuchh
baat kar lete hain hum se chand tare kuchh na kuchh
-
Share this
- See Ghazal
ḳhud apnā saath bhī chubhne lagā thā
ajab tanhā.ī kī aadat huī thī
KHud apna sath bhi chubhne laga tha
ajab tanhai ki aadat hui thi
-
Share this
- See Ghazal
ye kamra aur ye gard-o-ġhubār us kā hai
vo jis ne aanā nahīñ intizār us kā hai
ye kamra aur ye gard-o-ghubar us ka hai
wo jis ne aana nahin intizar us ka hai
-
Share this
- See Ghazal