Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zafar Gorakhpuri's Photo'

Zafar Gorakhpuri

1935 - 2017 | Mumbai, India

Prominent poet associated with progressive movement.

Prominent poet associated with progressive movement.

Dohe of Zafar Gorakhpuri

man sahrā hai pyaas tan zaḳhmoñ sej

saarī dhartī karbalā maulā paanī bhej

man sahra hai pyas ka tan zaKHmon ki sej

sari dharti karbala maula pani bhej

bhūkī bheḌ hai jism meñ bas siipī bhar ḳhuun

charvāhe ko duudh de tājir ko uun

bhuki bheD hai jism mein bas sipi bhar KHun

charwahe ko dudh de ya tajir ko un

parbat ho to pheñk duuñ kisī tarah ai jaan

kyā chhātī pe hai dharā ḳhud maiñ anjān

parbat ho to phenk dun kisi tarah ai jaan

kya chhati pe hai dhara KHud main hi anjaan

kaun yahāñ jo haath meñ saarā yug le thaam

ek sirā jo chhū sake bahut baḌā ye kaam

kaun yahan jo hath mein sara yug le tham

ek sira jo chhu sake bahut baDa ye kaam

sakhī-rī jab ye Thaan jaanā hai sājan dvaar

kyā sāñsoñ beḌiyāñ kyā tan talvār

sakhi-ri jab ye Than li jaana hai sajan dwar

kya sanson ki beDiyan kya tan ki talwar

hare-bhare kuchh dhyān the aur na thā kuchh paas

pāñv-tale se khīñch kis ne ThanDī ghaas

hare-bhare kuchh dhyan the aur na tha kuchh pas

panw-tale se khinch li kis ne ThanDi ghas

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now