Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bismil Saeedi's Photo'

Bismil Saeedi

1901 - 1976 | Tonk, India

Well-known poet of classical style / Disciple of Seemab Akbarabadi

Well-known poet of classical style / Disciple of Seemab Akbarabadi

Bismil Saeedi

Ghazal 45

Sher-o-Shayari 20

ham ne kāñToñ ko bhī narmī se chhuā hai aksar

log bedard haiñ phūloñ ko masal dete haiñ

hum ne kanTon ko bhi narmi se chhua hai aksar

log bedard hain phulon ko masal dete hain

  • Share this

sar jis pe na jhuk jaa.e use dar nahīñ kahte

har dar pe jo jhuk jaa.e use sar nahīñ kahte

TRANSLATION

On which every head bows, cannot be called a door,

On every door that bows, cannot be a head for sure.

Sagar Akbarabadi

sar jis pe na jhuk jae use dar nahin kahte

har dar pe jo jhuk jae use sar nahin kahte

TRANSLATION

On which every head bows, cannot be called a door,

On every door that bows, cannot be a head for sure.

Sagar Akbarabadi

Thokar kisī patthar se agar khaa.ī hai maiñ ne

manzil nishāñ bhī usī patthar se milā hai

Thokar kisi patthar se agar khai hai main ne

manzil ka nishan bhi usi patthar se mila hai

  • Share this

kiyā tabāh to dillī ne bhī bahut 'bismil'

magar ḳhudā qasam lucknow ne luuT liyā

kiya tabah to dilli ne bhi bahut 'bismil'

magar KHuda ki qasam lucknow ne luT liya

  • Share this

mere dil ko bhī paḌā rahne do

chiiz rakkhī huī kaam aatī hai

mere dil ko bhi paDa rahne do

chiz rakkhi hui kaam aati hai

  • Share this

BOOKS 10

 

Image Shayari 2

 

Audios 8

ab ishq rahaa na vo junuu.n hai

baiThaa nahii.n huu.n saaya-e-diivaar dekh kar

ishq jo naa-gahaa.n nahii.n hotaa

Recitation

RELATED publishers

More publishers From "Tonk"

 

Recitation

Speak Now