Sher of Qaisar Shameem
kisī manzil meñ bhī hāsil na huā dil ko qarār
zindagī ḳhvāhish-e-nākām hī karte guzrī
kisi manzil mein bhi hasil na hua dil ko qarar
zindagi KHwahish-e-nakaam hi karte guzri
us ke āñgan meñ raushnī thī magar
ghar ke andar baḌā añdherā thā
us ke aangan mein raushni thi magar
ghar ke andar baDa andhera tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mausam 'ajīb rahtā hai dil ke dayār kā
aage haiñ lū ke jhoñke bhī ThanDī havā ke ba.ad
mausam 'ajib rahta hai dil ke dayar ka
aage hain lu ke jhonke bhi ThanDi hawa ke baad
sabz mausam se mujhe kyā lenā
shāḳh se apnī judā huuñ baabā
sabz mausam se mujhe kya lena
shaKH se apni juda hun baba
merā maz.hab ishq kā maz.hab jis meñ koī tafrīq nahīñ
mere halqe meñ aate haiñ 'tulsī' bhī aur 'jāmī' bhī
mera mazhab ishq ka mazhab jis mein koi tafriq nahin
mere halqe mein aate hain 'tulsi' bhi aur 'jami' bhi
-
Tag : Religious harmony
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
saaz se mere ġhalat naġhmoñ kī ummīd na kar
aag kī aag hai dil meñ to dhuāñ kyūñkar ho
saz se mere ghalat naghmon ki ummid na kar
aag ki aag hai dil mein to dhuan kyunkar ho