Saghar Azmi
Ghazal 8
Sher-o-Shayari 13
kashmīr kī vaadī meñ be-parda jo nikle ho
kyā aag lagāoge barfīlī chaTānoñ meñ
kashmir ki wadi mein be-parda jo nikle ho
kya aag lagaoge barfili chaTanon mein
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
tum kyā jaano apne aap se kitnā maiñ sharminda huuñ
chhūT gayā hai saath tumhārā aur abhī tak zinda huuñ
tum kya jaano apne aap se kitna main sharminda hun
chhuT gaya hai sath tumhaara aur abhi tak zinda hun
- Add to favorites
-
Share this
tum se miltī-jultī maiñ āvāz kahāñ se lā.ūñgā
tāj-mahal ban jaa.e agar mumtāz kahāñ se lā.ūñgā
tum se milti-julti main aawaz kahan se launga
taj-mahal ban jae agar mumtaz kahan se launga
- Add to favorites
-
Share this
shaam Dhale ye soch ke baiThe ham apnī tasvīr ke paas
saarī ġhazleñ baiThī hoñgī apne apne miir ke paas
sham Dhale ye soch ke baiThe hum apni taswir ke pas
sari ghazlen baiThi hongi apne apne mir ke pas
- Add to favorites
-
Share this
devtā mere āñgan meñ utreñge kab zindagī bhar yahī sochtā rah gayā
mere bachchoñ ne to chāñd ko chhū liyā aur maiñ chāñd ko pūjtā rah gayā
dewta mere aangan mein utrenge kab zindagi bhar yahi sochta rah gaya
mere bachchon ne to chand ko chhu liya aur main chand ko pujta rah gaya
- Add to favorites
-
Share this
Image Shayari 3
Videos 7
