Shakeel Azmi
Ghazal 109
Nazm 25
Sher-o-Shayari 24
maiñ so rahā huuñ tire ḳhvāb dekhne ke liye
ye aarzū hai ki āñkhoñ meñ raat rah jaa.e
main so raha hun tere KHwab dekhne ke liye
ye aarzu hai ki aankhon mein raat rah jae
-
Share this
- See Ghazal
Qita 1
BOOKS 7
Image Shayari 1
charaaG hote hu.e tiirgii qubuul kii hai tamaam 'umr kii taa'ziir ek bhuul kii hai KHayaal aayaa hai ab raasta badal le.nge abhii talak to bahut zindagii fuzuul kii hai KHudaa kare ki ye paudaa zamii.n kaa ho jaa.e ki aarzuu mire aa.ngan ko ek phuul kii hai na jaane kaun saa lamha mire qaraar kaa hai na jaane kaun sii saa'at tire husuul kii hai na jaane kaun saa chehra mirii kitaab kaa hai na jaane kaun sii suurat tire nuzuul kii hai jinhe.n KHayaal ho aa.nkho.n kaa lauT jaa.e.n vo ab is ke baa'd hukuumat safar me.n dhuul kii hai ye shohrate.n hame.n yuu.nhii nahii.n milii hai.n 'shakiil' Gazal ne ham se bhii qiimat bahut vasuul kii hai