han mah-e-nau sunen hum us ka nam
Interesting Fact
1851
haañ mah-e-nau suneñ ham us kā naam
jis ko tū jhuk ke kar rahā hai salām
do din aaya hai tū nazar dam-e-sub.h
yahī andāz aur yahī andām
baare do din kahāñ rahā ġhā.eb
banda aajiz hai gardish-e-ayyām
uḌ ke jaatā kahāñ ki tāroñ kā
āsmāñ ne bichhā rakhā thā daam
marhabā ai surūr-e-ḳhās-ḳhavās
habbazā ai nashāt-e-ām-avām
uzr meñ tiin din na aane ke
le ke aaya hai iid kā paiġhām
us ko bhūlā na chāhiye kahnā
sub.h jo jaa.e aur aa.e shaam
ek maiñ kyā ki sab ne jaan liyā
terā āġhāz aur tirā anjām
rāz-e-dil mujh se kyoñ chhupātā hai
mujh ko samjhā hai kyā kahīñ nammām
jāntā huuñ ki aaj duniyā meñ
ek hī hai ummīd-gāh-e-anām
maiñ ne maanā ki tū hai halqa-ba-gosh
'ġhālib' us kā magar nahīñ hai ġhulām
jāntā huuñ ki jāntā hai tū
tab kahā hai ba-tarz-e-istifhām
mehr-e-tābāñ ko ho to ho ai maah
qurb-e-har-roza bar-sabīl-e-davām
**
tujh ko kyā paaya rū-shanāsī kā
juz ba-taqrīb-e-īd-e-māh-e-siyām
jāntā huuñ ki is ke faiz se tū
phir banā chāhtā hai māh-e-tamām
maah ban māhtāb ban maiñ kaun
mujh ko kyā baañT degā tū in.aam
merā apnā judā mo.āmla hai
aur ke len-den se kyā kaam
hai mujhe ārzū-e-baḳhshish-e-ḳhās
gar tujhe hai ummīd-e-rahmat-e-ām
jo ki baḳhshegā tujh ko far faroġh
kyā na degā mujhe mai-e-gulfām
jab ki chaudah manāzil-e-falakī
kar chuke qat.a terī tezī-gām
tere partav se hoñ faroġh-pazīr
kuue va mushkūe va sahn-o-manzar-o-bām
dekhnā mere haath meñ labrez
apnī sūrat kā ek billorīñ jaam
phir ġhazal kī ravish pe chal niklā
tausan-e-tab.a chāhtā thā lagām
zahr-e-ġham kar chukā thā merā
tujh ko kis ne kahā ki ho badnām
mai hī phir kyoñ na maiñ piye jā.ūñ
ġham se jab ho ga.ī ho ziist harām
bosa kaisā yahī ġhanīmat hai
ki na samjheñ vo lazzat-e-dushnām
ka.abe meñ jā bajā.eñge nāqūs
ab to bāñdhā hai dair meñ ehrām
is qadah kā hai daur mujh ko naqd
charḳh ne lī hai jis se gardish vaam
bosa dene meñ un ko hai inkār
dil ke lene meñ jin ko thā ibrām
chheḌtā huuñ ki un ko ġhussa aa.e
kyoñ rakhūñ varna 'ġhālib' apnā naam
kah chukā maiñ to sab kuchh ab tū kah
ai parī-chehra paik-e-tez-ḳhirām
kaun hai jis ke dar pe nāsiba sā
haiñ mah-o-mehr-o-zohra-o-bahrām
tū nahīñ jāntā to mujh se sun
nām-e-shāhansha-e-buland-maqām
qibla-e-chashm-o-dil bahādur-shāh
maz.har-e-zul-jalāl val-ikarām
shahsavār-e-tarīqa-e-insāf
nau-bahār-e-hadīqa-e-islām
jis kā har fe.al sūrat-e-e.ajāz
jis kā har qaul ma.anī-e-ilhām
bazm meñ mezbān-e-qaisar-o-jam
razm meñ ūstād-e-rustam-o-sām
ai tirā lutf zindagī-afzā
ai tirā ahd farruḳhī farjām
chashm-e-bad-dūr ḳhusravāna shikoh
au-hashallāh ārifāna kalām
jāñ-nisāroñ meñ tere qaisar-e-rōm
jur.a-ḳhvāroñ meñ tere murshid-e-jām
vāris-e-mulk jānte haiñ tujhe
īraj-o-tor-o-ḳhusrav-o-bahrām
zor-e-bāzū meñ mānte haiñ tujhe
gev-o-godarz-o-bīzhan-o-rihām
marhabā moshgāfī-e-nāvak
āfrīñ āb-dārī-e-samsām
tiir ko tere tīr-e-ġhair-hadaf
teġh ko terī teġh-e-ḳhasam-e-niyām
ra.ad kā kar rahī hai kyā dam band
barq ko de rahā hai kyā ilzām
tere fīl-e-girāñ-jasad kī sadā
tere raḳhsh-e-subuk-ināñ kā ḳhirām
fan-e-sūrat-garī meñ terā guzar
gar na rakhtā ho dast-gāh-e-tamām
us ke mazrūb ke sar-o-tan se
kyoñ numāyāñ ho sūrat-e-idġhām
jab azal meñ raqam-pazīr hue
saf.ha-hā-e-layālī-o-ayyām
aur un aurāq meñ ba-kilk-e-qazā
mujmalan mundaraj hue ahkām
likh diyā shāhidoñ ko āshiq-kush
likh diyā āshiqoñ ko dushman-e-kām
āsmāñ ko kahā gayā ki kaheñ
gumbad-e-tez-gard nīlī-fām
hukm-e-nātiq likhā gayā ki likheñ
ḳhaal ko daana aur zulf ko daam
ātish-o-āb-o-bād-o-ḳhāk ne lī
vaz.a-e-soz-o-nam-o-ram-o-ārām
mehr-e-raḳhshāñ kā naam ḳhusrav-e-roz
māh-e-tābāñ kā ism shahna-e-shām
terī tauqī'-e-saltanat ko bhī
dī ba-dastūr sūrat-e-arqām
kātib-e-hukm ne ba-mūjib-e-hukm
is raqam ko diyā tarāz-e-davām
hai azal se ravā.ī-e-āġhāz
ho abad tak rasā.ī-e-anjām
han mah-e-nau sunen hum us ka nam
jis ko tu jhuk ke kar raha hai salam
do din aaya hai tu nazar dam-e-subh
yahi andaz aur yahi andam
bare do din kahan raha ghaeb
banda aajiz hai gardish-e-ayyam
uD ke jata kahan ki taron ka
aasman ne bichha rakha tha dam
marhaba ai surur-e-KHas-KHawas
habbaza ai nashat-e-am-awam
uzr mein tin din na aane ke
le ke aaya hai id ka paigham
us ko bhula na chahiye kahna
subh jo jae aur aae sham
ek main kya ki sab ne jaan liya
tera aaghaz aur tera anjam
raaz-e-dil mujh se kyon chhupata hai
mujh ko samjha hai kya kahin nammam
jaanta hun ki aaj duniya mein
ek hi hai ummid-gah-e-anam
main ne mana ki tu hai halqa-ba-gosh
'ghaalib' us ka magar nahin hai ghulam
jaanta hun ki jaanta hai tu
tab kaha hai ba-tarz-e-istifham
mehr-e-taban ko ho to ho ai mah
qurb-e-har-roza bar-sabil-e-dawam
aa
tujh ko kya paya ru-shanasi ka
juz ba-taqrib-e-id-e-mah-e-siyam
jaanta hun ki is ke faiz se tu
phir bana chahta hai mah-e-tamam
mah ban mahtab ban main kaun
mujh ko kya banT dega tu inam
mera apna juda moamla hai
aur ke len-den se kya kaam
hai mujhe aarzu-e-baKHshish-e-KHas
gar tujhe hai ummid-e-rahmat-e-am
jo ki baKHshega tujh ko far farogh
kya na dega mujhe mai-e-gulfam
jab ki chaudah manazil-e-falaki
kar chuke qata teri tezi-gam
tere partaw se hon farogh-pazir
kue wa mushkue wa sahn-o-manzar-o-baam
dekhna mere hath mein labrez
apni surat ka ek billorin jam
phir ghazal ki rawish pe chal nikla
tausan-e-taba chahta tha lagam
zahr-e-gham kar chuka tha mera
tujh ko kis ne kaha ki ho badnam
mai hi phir kyon na main piye jaun
gham se jab ho gai ho zist haram
bosa kaisa yahi ghanimat hai
ki na samjhen wo lazzat-e-dushnam
kabe mein ja bajaenge naqus
ab to bandha hai dair mein ehram
is qadah ka hai daur mujh ko naqd
charKH ne li hai jis se gardish wam
bosa dene mein un ko hai inkar
dil ke lene mein jin ko tha ibram
chheDta hun ki un ko ghussa aae
kyon rakhun warna 'ghaalib' apna nam
kah chuka main to sab kuchh ab tu kah
ai pari-chehra paik-e-tez-KHiram
kaun hai jis ke dar pe nasiba sa
hain mah-o-mehr-o-zohra-o-bahram
tu nahin jaanta to mujh se sun
nam-e-shahansha-e-buland-maqam
qibla-e-chashm-o-dil bahadur-shah
mazhar-e-zul-jalal wal-ikaram
shahsawar-e-tariqa-e-insaf
nau-bahaar-e-hadiqa-e-islam
jis ka har feal surat-e-eajaz
jis ka har qaul mani-e-ilham
bazm mein mezban-e-qaisar-o-jam
razm mein ustad-e-rustam-o-sam
ai tera lutf zindagi-afza
ai tera ahd farruKHi farjam
chashm-e-bad-dur KHusrawana shikoh
au-hashallah aarifana kalam
jaan-nisaron mein tere qaisar-e-room
jura-KHwaron mein tere murshid-e-jam
waris-e-mulk jaante hain tujhe
iraj-o-tor-o-KHusraw-o-bahram
zor-e-bazu mein mante hain tujhe
gew-o-godarz-o-bizhan-o-riham
marhaba moshgafi-e-nawak
aafrin aab-dari-e-samsam
tir ko tere tir-e-ghair-hadaf
tegh ko teri tegh-e-KHasam-e-niyam
rad ka kar rahi hai kya dam band
barq ko de raha hai kya ilzam
tere fil-e-giran-jasad ki sada
tere raKHsh-e-subuk-inan ka KHiram
fan-e-surat-gari mein tera guzar
gar na rakhta ho dast-gah-e-tamam
us ke mazrub ke sar-o-tan se
kyon numayan ho surat-e-idgham
jab azal mein raqam-pazir hue
safha-ha-e-layali-o-ayyam
aur un auraq mein ba-kilk-e-qaza
mujmalan mundaraj hue ahkaam
likh diya shahidon ko aashiq-kush
likh diya aashiqon ko dushman-e-kaam
aasman ko kaha gaya ki kahen
gumbad-e-tez-gard nili-fam
hukm-e-natiq likha gaya ki likhen
KHal ko dana aur zulf ko dam
aatish-o-ab-o-baad-o-KHak ne li
waza-e-soz-o-nam-o-ram-o-aram
mehr-e-raKHshan ka nam KHusraw-e-roz
mah-e-taban ka ism shahna-e-sham
teri tauqi'-e-saltanat ko bhi
di ba-dastur surat-e-arqam
katib-e-hukm ne ba-mujib-e-hukm
is raqam ko diya taraaz-e-dawam
hai azal se rawai-e-aghaz
ho abad tak rasai-e-anjam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.