ishrati ghar ki mohabbat ka maza bhul gae
Interesting Fact
Akbar Ilahabadi willy-nilly sent his son Ishrat Hussain to Europe for studies by making him take vows and oaths of all sorts. In those days every Indian guy who went to Europe was suspected of being spoiled in the 'Ultra-Mod' European ambience and given that Isharat studied in Europe for a long time, Akbar was always worried about his son. Once Ishrat's letter took unusually long in reaching his father, as a result of which, Akbar, in anxiety and uneasiness sent across this couplet.
'ishratī' ghar kī mohabbat kā mazā bhuul ga.e
khā ke london kī havā ahd-e-vafā bhuul ga.e
pahuñche hotel meñ to phir iid kī parvā na rahī
cake ko chakh ke seva.iyoñ kā mazā bhuul ga.e
bhūle maañ baap ko aġhyār ke charnoñ meñ vahāñ
sāya-e-kufr paḌā nūr-e-ḳhudā bhuul ga.e
mom kī putliyoñ par aisī tabī.at pighlī
chaman-e-hind kī pariyoñ kī adā bhuul ga.e
kaise kaise dil nāzuk ko dukhāyā tum ne
ḳhabar-e-faisla-e-roz-e-jazā bhuul ga.e
buḳhl hai ahl-e-vatan se jo vafā meñ tum ko
kyā buzurgoñ kī vo sab jūd-o-atā bhuul ga.e
naql maġhrib kī tarañg aa.ī tumhāre dil meñ
aur ye nukta ki mirī asl hai kyā bhuul ga.e
kyā ta.ajjub hai jo laḌkoñ ne bhulāyā ghar ko
jab ki būḌhe ravish-e-dīn-e-ḳhudā bhuul ga.e
'ishrati' ghar ki mohabbat ka maza bhul gae
kha ke london ki hawa ahd-e-wafa bhul gae
pahunche hotel mein to phir id ki parwa na rahi
cake ko chakh ke sewaiyon ka maza bhul gae
bhule man bap ko aghyar ke charnon mein wahan
saya-e-kufr paDa nur-e-KHuda bhul gae
mom ki putliyon par aisi tabiat pighli
chaman-e-hind ki pariyon ki ada bhul gae
kaise kaise dil nazuk ko dukhaya tum ne
KHabar-e-faisla-e-roz-e-jaza bhul gae
buKHl hai ahl-e-watan se jo wafa mein tum ko
kya buzurgon ki wo sab jud-o-ata bhul gae
naql maghrib ki tarang aai tumhaare dil mein
aur ye nukta ki meri asl hai kya bhul gae
kya tajjub hai jo laDkon ne bhulaya ghar ko
jab ki buDhe rawish-e-din-e-KHuda bhul gae
- Book : kulliyaat-e-akbar (Pg. 213)
- Publication : farid book dipot
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.