Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzur hai guzarish-e-ahwal-e-waqai

Mirza Ghalib

manzur hai guzarish-e-ahwal-e-waqai

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    Interesting Fact

    1852

    manzūr hai guzārish-e-ahvāl-e-vāqa.ī

    apnā bayān husn-e-tabī.at nahīñ mujhe

    sau pusht se hai pesha-e-ābā sipah-garī

    kuchh shā'irī zarīya-e-'izzat nahīñ mujhe

    āzāda-rau huuñ aur mirā maslak hai sulh-e-kul

    hargiz kabhī kisī se adāvat nahīñ mujhe

    kyā kam hai ye sharaf ki 'zafar' ġhulām huuñ

    maanā ki jāh-o-mansab-o-sarvat nahīñ mujhe

    ustād-e-shah se ho mujhe parḳhāsh ḳhayāl

    ye taab ye majāl ye tāqat nahīñ mujhe

    jām-e-jahāñ-numā hai shahanshāh zamīr

    saugand aur gavāh hājat nahīñ mujhe

    maiñ kaun aur reḳhta haañ is se mudda.ā

    juz imbisāt-e-ḳhātir-e-hazrat nahīñ mujhe

    sahrā likhā gayā zarā imtisāl-e-amr

    dekhā ki chāra ġhair-e-itā.at nahīñ mujhe

    maqta' meñ aa paḌī hai suḳhan-gustarāna baat

    maqsūd is se qat'-e-mohabbat nahīñ mujhe

    rū-e-suḳhan kisī taraf ho to rū-siyāh

    saudā nahīñ junūñ nahīñ vahshat nahīñ mujhe

    qismat burī sahī pe tabī'at burī nahīñ

    hai shukr jagah ki shikāyat nahīñ mujhe

    sādiq huuñ apne qaul meñ 'ġhālib' ḳhudā gavāh

    kahtā huuñ sach ki jhuuT 'ādat nahīñ mujhe

    manzur hai guzarish-e-ahwal-e-waqai

    apna bayan husn-e-tabiat nahin mujhe

    sau pusht se hai pesha-e-aba sipah-gari

    kuchh sha'iri zariya-e-'izzat nahin mujhe

    aazada-rau hun aur mera maslak hai sulh-e-kul

    hargiz kabhi kisi se adawat nahin mujhe

    kya kam hai ye sharaf ki 'zafar' ka ghulam hun

    mana ki jah-o-mansab-o-sarwat nahin mujhe

    ustad-e-shah se ho mujhe parKHash ka KHayal

    ye tab ye majal ye taqat nahin mujhe

    jam-e-jahan-numa hai shahanshah ka zamir

    saugand aur gawah ki hajat nahin mujhe

    main kaun aur reKHta han is se muddaa

    juz imbisat-e-KHatir-e-hazrat nahin mujhe

    sahra likha gaya zara imtisal-e-amr

    dekha ki chaara ghair-e-itaat nahin mujhe

    maqta' mein aa paDi hai suKHan-gustarana baat

    maqsud is se qat'-e-mohabbat nahin mujhe

    ru-e-suKHan kisi ki taraf ho to ru-siyah

    sauda nahin junun nahin wahshat nahin mujhe

    qismat buri sahi pe tabi'at buri nahin

    hai shukr ki jagah ki shikayat nahin mujhe

    sadiq hun apne qaul mein 'ghaalib' KHuda gawah

    kahta hun sach ki jhuT ki 'adat nahin mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now