nind uD jaegi raaton ko shikayat hogi
niiñd uḌ jā.egī rātoñ ko shikāyat hogī
maiñ na samjhā thā tumheñ itnī mohabbat hogī
nazreñ DhūñDeñgī har ik raah pe qadmoñ ke nishāñ
baal bikhrā.e hue manziloñ vahshat hogī
yahī āshufta-mizājī hai to ai jān-e-vafā
aaj bastī meñ hai kal shahr meñ shohrat hogī
nind uD jaegi raaton ko shikayat hogi
main na samjha tha tumhein itni mohabbat hogi
nazren DhunDengi har ek rah pe qadmon ke nishan
baal bikhrae hue manzilon wahshat hogi
yahi aashufta-mizaji hai to ai jaan-e-wafa
aaj basti mein hai kal shahr mein shohrat hogi
- Book : Awaz Na Do (Pg. 64)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.