pa liya phir kisi ummid ne farda ka suragh
pā liyā phir kisī ummīd ne fardā kā surāġh
tishnagī DhūñDh rahī hai mai-o-mīnā-o-ayāġh
zehn meñ phir se ubharne lage maazī ke nuqūsh
dil meñ hone lage raushan tirī yādoñ ke charāġh
phir se ik mauj-e-tarab mauja-e-rañg uTThī hai
phir se milne ko hai shāyad ġham-e-hastī kā surāġh
pa liya phir kisi ummid ne farda ka suragh
tishnagi DhunDh rahi hai mai-o-mina-o-ayagh
zehn mein phir se ubharne lage mazi ke nuqush
dil mein hone lage raushan teri yaadon ke charagh
phir se ek mauj-e-tarab mauja-e-rang uTThi hai
phir se milne ko hai shayad gham-e-hasti ka suragh
- Book : Awaz Na Do (Pg. 68)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.