tajjub se kahne lage babu sahab
ta'ajjub se kahne lage baabū sāhab
government sayyad pe kyoñ mehrbāñ hai
use kyoñ huī is qadar kāmyābī
ki har bazm meñ bas yahī dāstāñ hai
kabhī laaT sāhab haiñ mehmān us ke
kabhī laaT sāhab kā vo mehmāñ hai
nahīñ hai hamāre barābar vo hargiz
diyā ham ne har sīġhe kā imtihāñ hai
vo añgrezī se kuchh bhī vāqif nahīñ hai
yahāñ jitnī english hai sab bar-zabāñ hai
kahā hañs ke akbar ne ai baabū sāhab
suno mujh se jo ramz is meñ nihāñ hai
nahīñ hai tumheñ kuchh bhī sayyad se nisbat
tum añgrezī-dāñ ho vo añgrez-dāñ hai
ta'ajjub se kahne lage babu sahab
gowernment sayyad pe kyon mehrban hai
use kyon hui is qadar kaamyabi
ki har bazm mein bas yahi dastan hai
kabhi laT sahab hain mehman us ke
kabhi laT sahab ka wo mehman hai
nahin hai hamare barabar wo hargiz
diya hum ne har sighe ka imtihan hai
wo angrezi se kuchh bhi waqif nahin hai
yahan jitni english hai sab bar-zaban hai
kaha hans ke akbar ne ai babu sahab
suno mujh se jo ramz is mein nihan hai
nahin hai tumhein kuchh bhi sayyad se nisbat
tum angrezi-dan ho wo angrez-dan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.