Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abr ka saya dhup ki chadar tere nam

Javed Akhtar Bedi

abr ka saya dhup ki chadar tere nam

Javed Akhtar Bedi

MORE BYJaved Akhtar Bedi

    abr saaya dhuup chādar tere naam

    is dhartī ke saare manzar tere naam

    shab ke girye se fursat sabīl kahāñ

    jaisā bhī hai apnā muqaddar tere naam

    girtī bijlī jaltā nasheman hañste log

    mere patthar mere gul-e-tar tere naam

    galī galī meñ tez havā sargoshī

    aur ghar ghar ke sarv-o-sanobar tere naam

    chup rah kar maiñ luuñ zulm nagrī meñ

    maiñ harf sajā luuñ lab par tere naam

    razm meñ saarī sulh bāteñ aur 'bedī'

    bazm meñ sab chalte hue ḳhanjar tere naam

    abr ka saya dhup ki chadar tere nam

    is dharti ke sare manzar tere nam

    shab ke girye se fursat ki sabil kahan

    jaisa bhi hai apna muqaddar tere nam

    girti bijli jalta nasheman hanste log

    mere patthar mere gul-e-tar tere nam

    gali gali mein tez hawa ki sargoshi

    aur ghar ghar ke sarw-o-sanobar tere nam

    chup rah kar main ji lun zulm ki nagri mein

    ya main harf saja lun lab par tere nam

    razm mein sari sulh ki baaten aur 'bedi'

    bazm mein sab chalte hue KHanjar tere nam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now