Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski zulfen jis ne chheDin wo saba thi main na tha

Hakeem Aagha Jan Aish

uski zulfen jis ne chheDin wo saba thi main na tha

Hakeem Aagha Jan Aish

MORE BYHakeem Aagha Jan Aish

    us zulfeñ jis ne chheḌīñ vo sabā thī maiñ na thā

    merā kyā maqdūr ye us ḳhatā thī maiñ na thā

    mujh se bole kal nashe meñ ḳhuub huñkāreñ haiñ aap

    ye na samjhe aur vo be-hayā thī maiñ na thā

    merā kyā maqdūr jo maiñ dar tak aatā aap ke

    vo raqīboñ ajī āvāz-e-pā thī maiñ na thā

    pūchhā jab mansūr se tum ne anal-haq kyuuñ kahā

    ye kahā us ne ki vo shān-e-ḳhudā thī maiñ na thā

    maiñ ne kyā ifshā kiyā raaz un soch ai ham-nashīñ

    bā.is-e-ifshā-e-rāz un hayā thī maiñ na thā

    'aish' sab adnā se a.alā tak vahāñ hāzir the kal

    bazm meñ ek us ḳhālī merī thī maiñ na thā

    us ki zulfen jis ne chheDin wo saba thi main na tha

    mera kya maqdur ye us ki KHata thi main na tha

    mujh se bole kal nashe mein KHub hunkaren hain aap

    ye na samjhe aur hi wo be-haya thi main na tha

    mera kya maqdur jo main dar tak aata aap ke

    wo raqibon ki aji aawaz-e-pa thi main na tha

    puchha jab mansur se tum ne anal-haq kyun kaha

    ye kaha us ne ki wo shan-e-KHuda thi main na tha

    main ne kya ifsha kiya raaz un ka soch ai ham-nashin

    bais-e-ifsha-e-raaz un ki haya thi main na tha

    'aish' sab adna se aala tak wahan hazir the kal

    bazm mein ek us ki KHali meri ja thi main na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now