Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har shajar jag uTha

Khursheed Ahmad

har shajar jag uTha

Khursheed Ahmad

MORE BYKhursheed Ahmad

    Interesting Fact

    (Auraq, Lahore, March, April 1973)

    ghanTiyāñ bajne lagīñ Dhor chalte khetoñ ko

    rāste jaag uThe saarī fazā jaag uThī

    sub.h-e-kāzib ke dhuñdlakoñ meñ ujāle chhiTke

    har shajar jaag uThā bād-e-sabā jaag uThī

    apne shānoñ pe sajā.e hue azmat ke nishāñ

    apne khetoñ muñDeroñ ke nigahbān chale

    jin se tahzīb ke goshoñ ne jilā paa.ī hai

    un ziyā-bār saveroñ ke nigahbān chale

    kachchī īñToñ ke makānoñ muqaddar jaagā

    aag raushan huī uploñ dhuāñ phail gayā

    dar-o-dīvār se yuuñ pyaar ke saa.e phūTe

    ziist saaya bhī tā-hadd-e-gumāñ phail gayā

    shor karte hue shahzāde gharoñ se nikle

    jin ke malbūs darīda bhī haiñ bosīda bhī

    jin ke qadmoñ se lipaTtī hai mire gaañv dhuul

    jin tauqīr ko uThte haiñ jahāñ-dīda bhī

    ghanTiyan bajne lagin Dhor chalte kheton ko

    raste jag uThe sari faza jag uThi

    subh-e-kazib ke dhundlakon mein ujale chhiTke

    har shajar jag uTha baad-e-saba jag uThi

    apne shanon pe sajae hue azmat ke nishan

    apne kheton ki munDeron ke nigahban chale

    jin se tahzib ke goshon ne jila pai hai

    un ziya-bar saweron ke nigahban chale

    kachchi inTon ke makanon ka muqaddar jaga

    aag raushan hui uplon ka dhuan phail gaya

    dar-o-diwar se yun pyar ke sae phuTe

    zist ka saya bhi ta-hadd-e-guman phail gaya

    shor karte hue shahzade gharon se nikle

    jin ke malbus darida bhi hain bosida bhi

    jin ke qadmon se lipaTti hai mere ganw ki dhul

    jin ki tauqir ko uThte hain jahan-dida bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now