Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

peTu sahab

Farhat Qamar

peTu sahab

Farhat Qamar

MORE BYFarhat Qamar

    ek the peTū sāhab jin chhe foot thī ūñchā.ī

    baiThe baiThe pahlū badleñ das roTī khā jaa.eñ

    ik din peTū sāhab ko is ghar se dāvat aa.ī

    din chhupne se pahle peTū us ghar par dhamke

    dastar-ḳhvān lagā to baiThe kuchh tan ke kuchh jam ke

    pahle roTī sālan saare ghar-bhar khā Daalā

    phir ghar baaqī chīzoñ niklā ḳhuub dīvāla

    bārah laDDū biis imirtī sola bālū-shāhī

    chaudah kele darjan chīkū halva ek kaḌāhī

    ghabrā kar ghar ke mālik ne naukar ko dauḌāyā

    ek kilo bāzār se halva gājar mañgvāyā

    halva khā kar bole peTū de moñchhoñ par taav

    yaar zarā andar se thoḌā namkīn mañgāo

    thoḌī daal bachī thī phir loTā bhar paanī

    ghar hālat jaan chuke the so uThne Thānī

    sāhab-e-ḳhāna bole baiTho baiTho kuchh farmāo

    ghar meñ juute aur bache haiñ vo bhī khāte jaao

    ek the peTu sahab jin ki chhe foot thi unchai

    baiThe baiThe pahlu badlen das roTi kha jaen

    ek din peTu sahab ko is ghar se dawat aai

    din chhupne se pahle peTu us ghar par ja dhamke

    dastar-KHwan laga to baiThe kuchh tan ke kuchh jam ke

    pahle roTi salan sare ghar-bhar ka kha Dala

    phir ghar ki baqi chizon ka nikla KHub diwala

    barah laDDu bis imirti sola baalu-shahi

    chaudah kele darjan chiku halwa ek kaDahi

    ghabra kar ghar ke malik ne naukar ko dauDaya

    ek kilo bazar se halwa gajar ka mangwaya

    halwa kha kar bole peTu de monchhon par taw

    yar zara andar se thoDa sa namkin mangao

    thoDi dal bachi thi pi li phir loTa bhar pani

    ghar ki haalat jaan chuke the so uThne ki Thani

    sahab-e-KHana bole baiTho baiTho kuchh farmao

    ghar mein jute aur bache hain wo bhi khate jao

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now