ab meri do-gana ko mera dhyan hai kya KHak
ab meri do-gana ko mera dhyan hai kya KHak
Rangin Saadat Yaar Khan
MORE BYRangin Saadat Yaar Khan
ab merī do-gānā ko mirā dhyān hai kyā ḳhaak
insān kī annā use pahchān hai kyā ḳhaak
miltī nahīñ vo mujh ko tumhīñ ab to batā do
is baat meñ us kā ajī nuqsān hai kyā ḳhaak
haiñ yaad bahāne to use aise bahut se
aane ko yahāñ chāhiye sāmān hai kyā ḳhaak
ulfat mirī us kī to huī hai ka.ī din se
dil kā mire niklā koī armān hai kyā ḳhaak
'rañgīñ' se jo paiġhām-salām us ne kiyā hai
socho to zarā jī meñ vo insān hai kyā ḳhaak
ab meri do-gana ko mera dhyan hai kya KHak
insan ki anna use pahchan hai kya KHak
milti nahin wo mujh ko tumhin ab to bata do
is baat mein us ka aji nuqsan hai kya KHak
hain yaad bahane to use aise bahut se
aane ko yahan chahiye saman hai kya KHak
ulfat meri us ki to hui hai kai din se
dil ka mere nikla koi arman hai kya KHak
'rangin' se jo paigham-salam us ne kiya hai
socho to zara ji mein wo insan hai kya KHak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.