bahaar-e-jaan-faza hai yar ka KHat
bahār-e-jāñ-fazā hai yaar kā ḳhat
banā tār-e-nazar ruḳhsār kā ḳhat
huā paara dil-e-ḳhud-kār kā ḳhat
na aayā par buā ḳhūñḳhār kā ḳhat
surūr-ārā nahīñ ruḳhsār kā ḳhat
paḌhā jaatā nahīñ mai-ḳhvār kā ḳhat
kisī kaTnī kī bad-kārī kā shar hai
sharārat se hai pur bad-kār kā ḳhat
bahā dil ḳhuun ho ho kar na aayā
mahīna ho gayā sarkār kā ḳhat
bigāḌā naqsh-e-ulfat bad-guhar ne
dikhā kar gauhar-e-murdār kā ḳhat
buā sad-haif hai pyāre ne mujh ko
na likhā ek din bhī pyaar kā ḳhat
ho ḳhush-ḳhabarī tujhe ai bulbul-e-dil
sabā laa.ī gul-e-gulzār kā ḳhat
batā dete haiñ surḳhī dekh kar ham
ki hai ye kasbī-e-bad-kār kā ḳhat
uḌāyā tiir sā shauq-e-nazar ne
kisī ke tālib-e-dīdār kā ḳhat
chaḌhā begam ko aisā pyaar kā jin
girī vo dekhte hī yaar kā ḳhat
buā inkār meñ iqrār kaisā
ḳhat-e-taqdīr hai inkār kā ḳhat
dikhātī kyuuñ na begam sab ko baajī
jo hotā tāle'-e-bedār kā ḳhat
abhī shikva na kar paa.ī thī 'anqā'
ki laayā Dākiyā sarkār kā ḳhat
bahaar-e-jaan-faza hai yar ka KHat
bana tar-e-nazar ruKHsar ka KHat
hua para dil-e-KHud-kar ka KHat
na aaya par bua KHunKHar ka KHat
surur-ara nahin ruKHsar ka KHat
paDha jata nahin mai-KHwar ka KHat
kisi kaTni ki bad-kari ka shar hai
shararat se hai pur bad-kar ka KHat
baha dil KHun ho ho kar na aaya
mahina ho gaya sarkar ka KHat
bigaDa naqsh-e-ulfat bad-guhar ne
dikha kar gauhar-e-murdar ka KHat
bua sad-haif hai pyare ne mujh ko
na likha ek din bhi pyar ka KHat
ho KHush-KHabari tujhe ai bulbul-e-dil
saba lai gul-e-gulzar ka KHat
bata dete hain surKHi dekh kar hum
ki hai ye kasbi-e-bad-kar ka KHat
uDaya tir sa shauq-e-nazar ne
kisi ke talib-e-didar ka KHat
chaDha begam ko aisa pyar ka jin
giri wo dekhte hi yar ka KHat
bua inkar mein iqrar kaisa
KHat-e-taqdir hai inkar ka KHat
dikhati kyun na begam sab ko baji
jo hota tale'-e-bedar ka KHat
abhi shikwa na kar pai thi 'anqa'
ki laya Dakiya sarkar ka KHat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.