baiThna tha ki hawa ho gaya tausan un ka
baiThnā thā ki havā ho gayā tausan un kā
bhūlne kī nahīñ bandī kabhī aasan un kā
jue kī lat bhī lagā dī mire navvāb ko uī
zinda dargor ho baajī muā dushman un kā
haiñ ye bichhḌī huī Tikyā.ī ke ḳhātir naale
saaf batlātā hai mujh ko buā shevan un kā
vo baraste hue paanī meñ muġhal-jān ke saath
khelnā baaġh meñ jā-jā buā sāvan un kā
pichhle sāvan meñ to the saut ke ghar meñ dūlhā
dekhiye ab kī kahāñ ho buā sāvan un kā
hashr meñ pesh-e-ḳhudā tīnoñ kī hogī peshī
maiñ bhī navvāb bhī aur tīsrā dāman un kā
pāñch in'ām ke maamā abhī khan se gin lo
aaj karvāo kisī Dhab se jo darshan un kā
chhūTtā yuuñ hī rahegā muā pīchhe aapā
mornī sī mirī āvāz se argan un kā
dūlhā bhaa.ī pe muī ho na ga.ī ho 'āshiq
gūñdhtī naam hai kyuuñ haar meñ mālan un kā
hind meñ tiir se pahuñcheñ mire dūlhā yā-rab
ho chuke ḳhair se jab jalsa-e-lonDoñ un kā
rashk-e-ā.īna hai begam buā gadrāyā huā
fitnā-añgez balā-ḳhez hai joban un kā
āl-e-ahmad ke sanā-ḳhvān haiñ 'mohsin' baajī
kyuuñ pas-e-marg mo'attar na ho madfan un kā
baiThna tha ki hawa ho gaya tausan un ka
bhulne ki nahin bandi kabhi aasan un ka
jue ki lat bhi laga di mere nawwab ko ui
zinda dargor ho baji mua dushman un ka
hain ye bichhDi hui Tikyai ke KHatir nale
saf batlata hai mujh ko bua shewan un ka
wo baraste hue pani mein mughal-jaan ke sath
khelna bagh mein ja-ja bua sawan un ka
pichhle sawan mein to the saut ke ghar mein dulha
dekhiye ab ki kahan ho bua sawan un ka
hashr mein pesh-e-KHuda tinon ki hogi peshi
main bhi nawwab bhi aur tisra daman un ka
panch in'am ke mama abhi khan se gin lo
aaj karwao kisi Dhab se jo darshan un ka
chhuTta yun hi rahega mua pichhe aapa
morni si meri aawaz se argan un ka
dulha bhai pe mui ho na gai ho 'ashiq
gundhti nam hai kyun haar mein malan un ka
hind mein tir se pahunchen mere dulha ya-rab
ho chuke KHair se jab jalsa-e-lonDon un ka
rashk-e-aina hai begam bua gadraya hua
fitna-angez bala-KHez hai joban un ka
aal-e-ahmad ke sana-KHwan hain 'mohsin' baji
kyun pas-e-marg mo'attar na ho madfan un ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.