changez-KHan se kam nahin KHun-KHwar ka mizaj
chañgez-ḳhāñ se kam nahīñ ḳhūñ-ḳhvār kā mizāj
dushman kā ho na jo hai mire yaar kā mizāj
kuchh pech hai jo bigḌī nabī-jān se huzūr
kyā jāntī nahīñ huuñ maiñ sarkār kā mizāj
mazdūrnī ke ishq meñ shāyad siḌī huā
ġhhar-vālā pūchhtā hai jo dīvār kā mizāj
apne haram se tum ne mañgā.ī mirī ḳhabar
bairī se koī pūchhtā hai yaar kā mizāj
daulat-nisā se ashrafī-ḳhānam ne sach kahā
māsha ghaḌī meñ tola hai zardār kā mizāj
kyūñkar ḳhafā na tum se ho nargis sitāra-jān
pūchhā karo na raat ko bīmār kā mizāj
ḳhātir maiñ jūñ-jūñ kartī huuñ chandū-bandūḌ kī
miltā nahīñ falak pe hai murdār kā mizāj
tote kī tarah bachchī se kī be-muravvatī
kaisā burā hai aadhe vafādār kā mizāj
pahle nahīñ kī baad kiyā jis ne jo kahā
hai hai bahut burā hai ye inkār kā mizāj
kaisī haiñ būḌhe chauñDe pe ye mehrbāniyāñ
pūchhā jo aaj saas gunahgār kā mizāj
haañ ke sivā nahīñ nahīñ aa.ī zabān par
hargiz ajī nahīñ mirā inkār kā mizāj
nāhaq ḳhafā ho mujh se agar ho to ḳhush raho
ai baajī hai nahīñ mirā takrār kā mizāj
ai 'jān' dil harām se parhez kyā kare
rahtā nahīñ hai qaabū meñ bīmār kā mizāj
changez-KHan se kam nahin KHun-KHwar ka mizaj
dushman ka ho na jo hai mere yar ka mizaj
kuchh pech hai jo bigDi nabi-jaan se huzur
kya jaanti nahin hun main sarkar ka mizaj
mazdurni ke ishq mein shayad siDi hua
ghar-wala puchhta hai jo diwar ka mizaj
apne haram se tum ne mangai meri KHabar
bairi se koi puchhta hai yar ka mizaj
daulat-nisa se ashrafi-KHanam ne sach kaha
masha ghaDi mein tola hai zardar ka mizaj
kyunkar KHafa na tum se ho nargis sitara-jaan
puchha karo na raat ko bimar ka mizaj
KHatir main jun-jun karti hun chandu-banduD ki
milta nahin falak pe hai murdar ka mizaj
tote ki tarah bachchi se ki be-murawwati
kaisa bura hai aadhe wafadar ka mizaj
pahle nahin ki baad kiya jis ne jo kaha
hai hai bahut bura hai ye inkar ka mizaj
kaisi hain buDhe chaunDe pe ye mehrbaniyan
puchha jo aaj sas gunahgar ka mizaj
han ke siwa nahin nahin aai zaban par
hargiz aji nahin mera inkar ka mizaj
nahaq KHafa ho mujh se agar ho to KHush raho
ai baji hai nahin mera takrar ka mizaj
ai 'jaan' dil haram se parhez kya kare
rahta nahin hai qabu mein bimar ka mizaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.