dar-ba-dar bhik hi mangega mua mere baad
dar-ba-dar bhiik hī māñgegā muā mere baad
yaad rakhnā ye mirī baat buā mere baad
kasbī kyā kyā na lagā.egī balā mere baad
riish meñ kaun lagā.egī hinā mere baad
phuul bhī do na chaḌhā.e mirī turbat pe kabhī
aise saukan ne diye phuul paḌhā mere baad
buā kyā kyā na bigāḌeñge gharauñdā apnā
luuT legī muī kasbī kī adā mere baad
zulm sah sah ke chhināloñ ke pashīmāñ hoñge
mere jiine kī vo māñgeñge duā mere baad
maiñ buā un ke liye shauq se luuñ rāh-e-adam
raah par laa.e jo dūlhā ko ḳhudā mere baad
rañg kyā kyā na muī lā.egī mehñdī begam
ḳhuun thūkegī hazāroñ meñ hinā mere baad
sāmne phūTe agar shaiḳh to muñh noch luuñ maiñ
kahtā sab kuchh buā phirtā hai muā mere baad
paanī ho ho ke baheñgī ye jafā.eñ qibla
josh par aa.egā jab ḳhūn-e-vafā mere baad
sitam-e-yār se kahtī hai vafā kī hasrat
hogī ab kis pe nigoḌī ye jafā mere baad
haa.e navāb-e-sitam-gar kī kudūrat na ga.ī
hogī hasrat kī lab-e-gor sadā mere baad
muñh-lage bhaḌve banā.eñge na kyā kyā abtar
chauk jā jā ke na ho jā.eñge kyā mere baad
jīte-jī sharm na 'mohsin' ko jab aa.ī guyyāñ
ḳhaak aa.egī nigoḌe ko hayā mere baad
dar-ba-dar bhik hi mangega mua mere baad
yaad rakhna ye meri baat bua mere baad
kasbi kya kya na lagaegi bala mere baad
rish mein kaun lagaegi hina mere baad
phul bhi do na chaDhae meri turbat pe kabhi
aise saukan ne diye phul paDha mere baad
bua kya kya na bigaDenge gharaunda apna
luT legi mui kasbi ki ada mere baad
zulm sah sah ke chhinalon ke pashiman honge
mere jine ki wo mangenge dua mere baad
main bua un ke liye shauq se lun rah-e-adam
rah par lae jo dulha ko KHuda mere baad
rang kya kya na mui laegi mehndi begam
KHun thukegi hazaron mein hina mere baad
samne phuTe agar shaiKH to munh noch lun main
kahta sab kuchh bua phirta hai mua mere baad
pani ho ho ke bahengi ye jafaen qibla
josh par aaega jab KHun-e-wafa mere baad
sitam-e-yar se kahti hai wafa ki hasrat
hogi ab kis pe nigoDi ye jafa mere baad
hae nawab-e-sitam-gar ki kudurat na gai
hogi hasrat ki lab-e-gor sada mere baad
munh-lage bhaDwe banaenge na kya kya abtar
chauk ja ja ke na ho jaenge kya mere baad
jite-ji sharm na 'mohsin' ko jab aai guyyan
KHak aaegi nigoDe ko haya mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.