karun main kahan tak mudaraat roz
karūñ maiñ kahāñ tak mudārāt roz
tumheñ chāhiye hai vahī baat roz
mujhe ghar ke logoñ kā Dar hai kamāl
karūñ kis tarah se mulāqāt roz
mirā terā charchā hai sab shahr meñ
bhalā aa.uuñ kyūñkar maiñ har raat roz
kahāñ tak sunūñ kaan to uḌ ga.e
tirī sunte sunte hikāyāt roz
ga.e haiñ mire ghar meñ sab tujh ko taaḌ
kiyā kar na 'rañgīñ' ishārāt roz
karun main kahan tak mudaraat roz
tumhein chahiye hai wahi baat roz
mujhe ghar ke logon ka Dar hai kamal
karun kis tarah se mulaqat roz
mera tera charcha hai sab shahr mein
bhala aaun kyunkar main har raat roz
kahan tak sunun kan to uD gae
teri sunte sunte hikayat roz
gae hain mere ghar mein sab tujh ko taD
kiya kar na 'rangin' ishaaraat roz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.