khilwa na Thokaren mue dil dar-ba-dar mujhe
khilvā na Thokareñ muue dil dar-ba-dar mujhe
rusvā na kar zalīl na kar dar-ba-dar mujhe
bichhḌā vo jab se phir nahīñ aayā nazar mujhe
merī ḳhabar na us ko na us kī ḳhabar mujhe
sadma tirī judā.ī kā hai is qadar mujhe
be-dāna paanī kaTte haiñ āThoñ-pahar mujhe
kaahe ko ġham ke hāthoñ se suulī pe chaḌhtī maiñ
mansūr koī tujh sā jo miltā bashar mujhe
vo to saḌak thī haath pakaḌ letī be-dhaḌak
merā to Dar na thā pa tumhārā thā Dar mujhe
tum paanī paanī sharm se hote ajī faqat
maiñ Duub martī itnī thī ġhairat magar mujhe
ik sham.a vaale pe maiñ huuñ parvāna aaj kal
jaltī huuñ niiñd aatī nahīñ rāt-bhar mujhe
jab okhlī meñ sar diyā mūsal kā kyā hai Dar
sab ko ḳhudā de jaisā diyā hai jigar mujhe
mirzā pe jaan jaatī hai hākim se bhī kahūñ
phāñsī de yā chaḌhā.e koī daar par mujhe
aa aa ke har ghaḌī jo yahāñ ghūrtā hai tū
ai 'jān' tere diide se lagtā hai Dar mujhe
khilwa na Thokaren mue dil dar-ba-dar mujhe
ruswa na kar zalil na kar dar-ba-dar mujhe
bichhDa wo jab se phir nahin aaya nazar mujhe
meri KHabar na us ko na us ki KHabar mujhe
sadma teri judai ka hai is qadar mujhe
be-dana pani kaTte hain aaThon-pahar mujhe
kahe ko gham ke hathon se suli pe chaDhti main
mansur koi tujh sa jo milta bashar mujhe
wo to saDak thi hath pakaD leti be-dhaDak
mera to Dar na tha pa tumhaara tha Dar mujhe
tum pani pani sharm se hote aji faqat
main Dub marti itni thi ghairat magar mujhe
ek shama wale pe main hun parwana aaj kal
jalti hun nind aati nahin raat-bhar mujhe
jab okhli mein sar diya musal ka kya hai Dar
sab ko KHuda de jaisa diya hai jigar mujhe
mirza pe jaan jati hai hakim se bhi kahun
phansi de ya chaDhae koi dar par mujhe
aa aa ke har ghaDi jo yahan ghurta hai tu
ai 'jaan' tere dide se lagta hai Dar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.