lahore ki hawas hai na multan ki hawas
lahore kī havas hai na multān kī havas
aTkī huuñ ik muġhal se hai tūrān kī havas
rakkhā hai jaise sog dogānā ne yaar kā
missī kī kuchh havas hai na kuchh paan kī havas
mujh ko chhuā to khā.ūñgī almās kuuT kar
dil kī rahegī dil hī maiñ marjān kī havas
chāñdī to kyā maiñ sone meñ mañDhvā duuñ ai buā
ho Dholne kī tujh ko jo qur.ān kī havas
arzī lagā duuñ jā ke adālat meñ mehr kī
haañ le marūñ jo un ko ho bohtān kī havas
mujh se kiyā nigoḌe ne bī raat raat bhar
to bhī miTī na us mue shaitān kī havas
aulād jītī-jāgtī jam jam ho us ke ghar
puurī ḳhudā kare mire be-jān kī havas
ai 'jān' ab bulā le vo detī hai tujh pe jaan
miTTī meñ to milā na banī jaan kī havas
lahore ki hawas hai na multan ki hawas
aTki hun ek mughal se hai turan ki hawas
rakkha hai jaise sog dogana ne yar ka
missi ki kuchh hawas hai na kuchh pan ki hawas
mujh ko chhua to khaungi almas kuT kar
dil ki rahegi dil hi main marjaan ki hawas
chandi to kya main sone mein manDhwa dun ai bua
ho Dholne ki tujh ko jo quran ki hawas
arzi laga dun ja ke adalat mein mehr ki
han le marun jo un ko ho bohtan ki hawas
mujh se kiya nigoDe ne bi raat raat bhar
to bhi miTi na us mue shaitan ki hawas
aulad jiti-jagti jam jam ho us ke ghar
puri KHuda kare mere be-jaan ki hawas
ai 'jaan' ab bula le wo deti hai tujh pe jaan
miTTi mein to mila na bani jaan ki hawas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.