main to kuchh kahti nahin shauq se sau-bai chiKH
main to kuchh kahti nahin shauq se sau-bai chiKH
Rangin Saadat Yaar Khan
MORE BYRangin Saadat Yaar Khan
maiñ to kuchh kahtī nahīñ shauq se sau-bāī chīḳh
naam le kar mirī daa.ī kā dadā maarī chīḳh
uḌ ga.e maġhz ke kiiḌe tū udhar kyuuñ hai khaḌī
merī chañdiyā pe khaḌī ho ke idhar aa rī chīḳh
le maiñ kahtī huuñ ki sar piiT ke chauñDe ko khasūT
noch noch apnā tū muñh shauq se kar zaarī chīḳh
log yaañ chauñk uThe apne parā.e saare
mar miTī tū ne ġhazab aisī hī ik maarī chīḳh
tis pe makrātī hai murdār arī shābas-rī
tere muñh se abhī niklī hī nahīñ saarī chīḳh
hai ye qahba ise 'rañgīñ' ke havāle kar de
merī annā ko do-gānā meñ tire vaarī chīḳh
main to kuchh kahti nahin shauq se sau-bai chiKH
nam le kar meri dai ka dada mari chiKH
uD gae maghz ke kiDe tu udhar kyun hai khaDi
meri chandiya pe khaDi ho ke idhar aa ri chiKH
le main kahti hun ki sar piT ke chaunDe ko khasuT
noch noch apna tu munh shauq se kar zari chiKH
log yan chaunk uThe apne parae sare
mar miTi tu ne ghazab aisi hi ek mari chiKH
tis pe makraati hai murdar ari shabas-ri
tere munh se abhi nikli hi nahin sari chiKH
hai ye qahba ise 'rangin' ke hawale kar de
meri anna ko do-gana mein tere wari chiKH
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.