meri taraf se kuchh to tere dil mein chor hai
meri taraf se kuchh to tere dil mein chor hai
Rangin Saadat Yaar Khan
MORE BYRangin Saadat Yaar Khan
merī taraf se kuchh to tire dil meñ chor hai
maiñ ne samajh liyā to do-gānā ghanor hai
itnā baḌā hai muuñh ik aatoñ kī naak par
jitnī baḌī dadā mirī uñglī kī por hai
ro.e zarā jo daadā to daa.ī ho be-qarār
daa.ī hai mornī to mirā daadā mor hai
muñh Dhāñp kar na ro ye chhilaurī nahīñ muī
ai kuukā terī uñglī kī pakkī ye por hai
aisī gale meñ jaalī kī kartī hai daa.ī ke
jaisī burī paḌī mirī miyānī kī tor hai
hai merā chalnā phirnā do-gānā ke iḳhtiyār
ye jaan lo ki maiñ huuñ chaka.ī vo Dor hai
sadqe zanāḳhī mere maiñ qurbān us kī huuñ
ham meñ chaka.ī ek hai aur ek Dor hai
shāyad ki ho gayā tirā mīThā baras shurū
kuukā kuchh in dinoñ tirī chāhat kā shor hai
terī qasam gañvārī use jāntī huuñ maiñ
lauñDī ko 'rañgīñ' jo koī kahtī bañdūr hai
meri taraf se kuchh to tere dil mein chor hai
main ne samajh liya to do-gana ghanor hai
itna baDa hai munh ek aaton ki nak par
jitni baDi dada meri ungli ki por hai
roe zara jo dada to dai ho be-qarar
dai hai morni to mera dada mor hai
munh Dhanp kar na ro ye chhilauri nahin mui
ai kuka teri ungli ki pakki ye por hai
aisi gale mein jali ki karti hai dai ke
jaisi buri paDi meri miyani ki tor hai
hai mera chalna phirna do-gana ke iKHtiyar
ye jaan lo ki main hun chakai wo Dor hai
sadqe zanaKHi mere main qurban us ki hun
hum mein chakai ek hai aur ek Dor hai
shayad ki ho gaya tera miTha baras shuru
kuka kuchh in dinon teri chahat ka shor hai
teri qasam ganwari use jaanti hun main
launDi ko 'rangin' jo koi kahti bandur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.