munh pe kya puchhna yusuf se bua mere baad
muñh pe kyā pūchhnā yūsuf se buā mere baad
ishq meñ naam zuleḳhā kā huā mere baad
raat ko ḳhvāb meñ lailā ne kahā bandī se
tū ne phir zinda kiyā naam mirā mere baad
sach maiñ kahtī huuñ nabī-baḳhsh burā hai dāmād
rakkhe izzat mirī bachchī kī ḳhudā mere baad
kār-ḳhāne meñ ḳhudā ke nahīñ kuchh daḳhl buā
bachcha tum pahle janīñ byaah huā mere baad
muñh pe jo chāhatīñ kah letī burā yā ki bhalā
un se baajī ko na karnā thā gilā mere baad
bhayyā farhād hī the jaan jo dī shīrīñ par
tum nahīñ aise jo dikhlāo vafā mere baad
bholī kis birte pe ho yaad rahe ai banno
is nasīhat kā uThāoge mazā mere baad
jiitī jab tak huuñ maiñ hai saarī mohabbat sāhab
aise tum byaah karoge na bhalā mere baad
dil yatīmoñ kā bahut hotā hai nāzuk banoñ
jān'-sāhab ko ghuḌuknā na zarā mere baad
munh pe kya puchhna yusuf se bua mere baad
ishq mein nam zuleKHa ka hua mere baad
raat ko KHwab mein laila ne kaha bandi se
tu ne phir zinda kiya nam mera mere baad
sach main kahti hun nabi-baKHsh bura hai damad
rakkhe izzat meri bachchi ki KHuda mere baad
kar-KHane mein KHuda ke nahin kuchh daKHl bua
bachcha tum pahle janin byah hua mere baad
munh pe jo chahatin kah leti bura ya ki bhala
un se baji ko na karna tha gila mere baad
bhayya farhad hi the jaan jo di shirin par
tum nahin aise jo dikhlao wafa mere baad
bholi kis birte pe ho yaad rahe ai banno
is nasihat ka uThaoge maza mere baad
jiti jab tak hun main hai sari mohabbat sahab
aise tum byah karoge na bhala mere baad
dil yatimon ka bahut hota hai nazuk banon
jaan'-sahab ko ghuDukna na zara mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.