namaz paDh paDh ke tu gunahon se apne tauba bua kiya kar
namaz paDh paDh ke tu gunahon se apne tauba bua kiya kar
Meer Yaar Ali Jaan
MORE BYMeer Yaar Ali Jaan
namāz paḌh paḌh ke tū gunāhoñ se apne tauba buā kiyā kar
na jaan hindū pe de dogānā ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar
na dekh dūlhā ko saas nandoñ ke aage ghūñghaT uThā uThā kar
na.ī-navelī dulhan hai bachchī abhī to do chaar din hayā kar
vabāl jiinā hai dam ulajhtā hai kyā karūñ baal maiñ baḌhā kar
jo apne āshiq the chal base uuhī mujh ko janjāl meñ phañsā kar
nikāhī-bayāhī ko chhoḌ baiThe matā.ī ranDī ko ghar meñ Daalā
banāyā sāhab imam-bāḌā ḳhudā kī masjid ko tum ne Dhā kar
vo ek din thā ki mere aage kabhī na us kī thī daal galtī
bhare haiñ gāloñ pe ab to chāval kare vo bāteñ chabā chabā kar
kareñ na mujh pe vo farq itnā kuchh un ke ghar meñ paḌī nahīñ huuñ
karoḌoñ aise bigāḌ Daale gharauñde maiñ ne banā banā kar
ye Dar hai jappī kī tarah sar par na tere chaḌh baiThe choTī vaalā
kuñvārī baalī hai motī-begam na baal khole hue phirā kar
lagā.ī sosan ne aisī missī ki jaise battaḳh ne khaa.ī kīchaḌ
kisī ne maarā hai muñh pe patthar nahīñ ye aa.ī hai paan khā kar
vo baat aglī na yaad rakkhī abhī se bhūle hamārī chāhat
mujhe na khonī thī apnī izzat tumhārī dam-bāziyoñ meñ aa kar
sivā tumhāre kisī se maiñ ne na rakh ke roTī pe boTī khaa.ī
agar na maano uThā luuñ tīsoñ kalām sāhab abhī mañgā kar
gayā thā gañgā mahājan aate hī pahuñchā bāle-miyāñ ke mele
na Taale baale banāo sāhab mañgā do baale mire chhuḌā kar
nasīb sīdhā agar hai merā lachaktī niklegī khaaT us kī
vo maTkka na pā.egī jis ne bhejā hai ulTī palTī tumheñ paḌhā kar
jo dukh uThāne kī thī na tāqat huī thī raazī vo kach-dilī kyuuñ
zalīl us ko bhī saath apne kiyā zanāḳhī ne ġhul machā kar
judā.ī us kī to ek-dam kī nahīñ gavārā hai mujh ko logo
tamām kumbe ko chhoḌ baiThī maiñ 'jān'-sāhab se dil lagā kar
namaz paDh paDh ke tu gunahon se apne tauba bua kiya kar
na jaan hindu pe de dogana KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
na dekh dulha ko sas nandon ke aage ghunghaT uTha uTha kar
nai-naweli dulhan hai bachchi abhi to do chaar din haya kar
wabaal jina hai dam ulajhta hai kya karun baal main baDha kar
jo apne aashiq the chal base uhi mujh ko janjal mein phansa kar
nikahi-bayahi ko chhoD baiThe matai ranDi ko ghar mein Dala
banaya sahab imam-baDa KHuda ki masjid ko tum ne Dha kar
wo ek din tha ki mere aage kabhi na us ki thi dal galti
bhare hain galon pe ab to chawal kare wo baaten chaba chaba kar
karen na mujh pe wo farq itna kuchh un ke ghar mein paDi nahin hun
karoDon aise bigaD Dale gharaunde main ne bana bana kar
ye Dar hai jappi ki tarah sar par na tere chaDh baiThe choTi wala
kunwari baali hai moti-begam na baal khole hue phira kar
lagai sosan ne aisi missi ki jaise battaKH ne khai kichaD
kisi ne mara hai munh pe patthar nahin ye aai hai pan kha kar
wo baat agli na yaad rakkhi abhi se bhule hamari chahat
mujhe na khoni thi apni izzat tumhaari dam-baziyon mein aa kar
siwa tumhaare kisi se main ne na rakh ke roTi pe boTi khai
agar na mano uTha lun tison kalam sahab abhi manga kar
gaya tha ganga mahajan aate hi pahuncha baale-miyan ke mele
na Tale baale banao sahab manga do baale mere chhuDa kar
nasib sidha agar hai mera lachakti niklegi khaT us ki
wo maTkka na paegi jis ne bheja hai ulTi palTi tumhein paDha kar
jo dukh uThane ki thi na taqat hui thi raazi wo kach-dili kyun
zalil us ko bhi sath apne kiya zanaKHi ne ghul macha kar
judai us ki to ek-dam ki nahin gawara hai mujh ko logo
tamam kumbe ko chhoD baiThi main 'jaan'-sahab se dil laga kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.