nind aati nahin kam-baKHt diwani aa ja
nind aati nahin kam-baKHt diwani aa ja
Rangin Saadat Yaar Khan
MORE BYRangin Saadat Yaar Khan
niiñd aatī nahīñ kam-baḳht divānī aa jā
apnī biitī koī kah aaj kahānī aa jā
haath par tere muue kis ke hai chhalle kā daaġh
dī hai ye kis ne tujhe apnī nishānī aa jā
jab vo rūThā thā tabhī tū ne milā mujh se diyā
maiñ ne kuchh qadr tirī haa.e na jaanī aa jā
sabz-rañg ab ke hai nau-roz kā is sar kī qasam
joḌā lā kar tū pinhāve mujhe dhānī aa jā
baal māthe ke jo Dore se siye haiñ tū ne
shakl lagtī hai tirī aaj Darānī aa jā
ġham hai 'rañgīñ' ko na merā yūñhī us ke pīchhe
muft barbād huī merī javānī aa jā
nind aati nahin kam-baKHt diwani aa ja
apni biti koi kah aaj kahani aa ja
hath par tere mue kis ke hai chhalle ka dagh
di hai ye kis ne tujhe apni nishani aa ja
jab wo ruTha tha tabhi tu ne mila mujh se diya
main ne kuchh qadr teri hae na jaani aa ja
sabz-rang ab ke hai nau-roz ka is sar ki qasam
joDa la kar tu pinhawe mujhe dhani aa ja
baal mathe ke jo Dore se siye hain tu ne
shakl lagti hai teri aaj Darani aa ja
gham hai 'rangin' ko na mera yunhi us ke pichhe
muft barbaad hui meri jawani aa ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.