saqi chaman mein aa ki teri yaad hai bahut
saaqī chaman meñ aa ki tirī yaad hai bahut
bhūle vahī haiñ jin kī hameñ yaad hai bahut
dūlhā tumhārā asġharī āzād hai bahut
kartā nigoḌā chauk meñ barbād hai bahut
mumkin nahīñ ki ho na anīs-e-dil-e-hazīñ
kam-sin abhī buā sitam-ījād hai bahut
jaane se un ke ghar nahīñ ujḌā faqat mirā
vīrān ḳhāna-e-dil-e-nā-shād hai bahut
dekhūñ nigoḌā kartā hai kis tarah ḳhūn-e-dil
āzurda in dinoñ muā jallād hai bahut
ḳhush ho ke saas ne kahā dulhan se rashk-e-gul
dam se tumhāre ghar mirā ābād hai bahut
bulbul ko fasl-e-gul meñ asīr-e-qafas kiyā
ġhāfil ḳhudā ke ḳhauf se sayyād hai bahut
tasvīr un kī khich na sakī piir ho gayā
sharminda apne fel se bahzād hai bahut
letī huuñ karvaTeñ buā kunj-e-mazār meñ
'mohsin' nigoḌā qabr meñ bhī yaad hai bahut
saqi chaman mein aa ki teri yaad hai bahut
bhule wahi hain jin ki hamein yaad hai bahut
dulha tumhaara asghari aazad hai bahut
karta nigoDa chauk mein barbaad hai bahut
mumkin nahin ki ho na anis-e-dil-e-hazin
kam-sin abhi bua sitam-ijad hai bahut
jaane se un ke ghar nahin ujDa faqat mera
viran KHana-e-dil-e-na-shad hai bahut
dekhun nigoDa karta hai kis tarah KHun-e-dil
aazurda in dinon mua jallad hai bahut
KHush ho ke sas ne kaha dulhan se rashk-e-gul
dam se tumhaare ghar mera aabaad hai bahut
bulbul ko fasl-e-gul mein asir-e-qafas kiya
ghafil KHuda ke KHauf se sayyaad hai bahut
taswir un ki khich na saki pir ho gaya
sharminda apne fel se bahzad hai bahut
leti hun karwaTen bua kunj-e-mazar mein
'mohsin' nigoDa qabr mein bhi yaad hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.