aaj di talim gat gat ki mujhe talon ke bich
aaj dī ta.alīm gat gat kī mujhe tāloñ ke biich
ab na ā.ūñgī kabhī ustād kī chāloñ ke biich
chuum kar zulf-e-dotā phañstā nahīñ jāloñ ke biich
saaf bach jaatā hai gorā saikaḌoñ kāloñ ke biich
maiñ to ḳhud kahtī huuñ baajī ḳhaak Dālūñ shaiḳh par
phāñs letā hai nigoḌā pyaar kī chāloñ ke biich
bholā-pan ḳhud kar rahā hai surḳhi-e-lab se huzūr
suut kī beḌī bharī hai aaj in gāloñ ke biich
hote the do-chār dūlhā pahle kyā kyā pyaar se
bigḌe ab kyā kyā buā do chaar hī sāloñ ke biich
nauj luuñ shāleñ kisī kī maiñ buā shal ho ga.ī
bheje ḳhat saukan ke mujh ko Daal kar shāloñ ke biich
apnī bad-halī pe guyyāñ thā falak nālā-kanāñ
aaj phir shukr-e-ḳhudā ham bhī haiñ ḳhush-hāloñ ke biich
baat hai bigḌī ghaḌī kī saaf jo hote nahīñ
chalte purze haiñ mujhe laate haiñ vo chāloñ ke biich
sunte hī bechain ho kar aa ga.e Dolī meñ ham
kis balā kā hai asar 'mohsin' tire nāloñ ke biich
aaj di talim gat gat ki mujhe talon ke bich
ab na aaungi kabhi ustad ki chaalon ke bich
chum kar zulf-e-dota phansta nahin jalon ke bich
saf bach jata hai gora saikaDon kalon ke bich
main to KHud kahti hun baji KHak Dalun shaiKH par
phans leta hai nigoDa pyar ki chaalon ke bich
bhola-pan KHud kar raha hai surKHi-e-lab se huzur
sut ki beDi bhari hai aaj in galon ke bich
hote the do-chaar dulha pahle kya kya pyar se
bigDe ab kya kya bua do chaar hi salon ke bich
nauj lun shaalen kisi ki main bua shal ho gai
bheje KHat saukan ke mujh ko Dal kar shaalon ke bich
apni bad-hali pe guyyan tha falak nala-kanan
aaj phir shukr-e-KHuda hum bhi hain KHush-haalon ke bich
baat hai bigDi ghaDi ki saf jo hote nahin
chalte purze hain mujhe late hain wo chaalon ke bich
sunte hi bechain ho kar aa gae Doli mein hum
kis bala ka hai asar 'mohsin' tere nalon ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.