dekhte hi dekhte kya ho gaya
dekhte hī dekhte kyā ho gayā
maiñ terī tū jaan merā ho gayā
phir ga.ī ik baar hī mirzā kī aañkh
dekhnā bī uuhī ye kyā ho gayā
dostī kis mard se kī aaj kal
haal kyā ye dushmanoñ kā ho gayā
mar ga.ī maiñ jiite jī ai begamā
ishq meñ ghar-khoj kaisā ho gayā
kyā huā chal duur ho mujh se mue
biyāh merā aur hī jā ho gayā
begamā sach bol tū hai kyuuñ ḳhafā
kuchh to hai nuqsān terā ho gayā
kyuuñ na ho is ruuh ko ai 'jān' sabr
aa.e vo dil shaad merā ho gayā
dekhte hi dekhte kya ho gaya
main teri tu jaan mera ho gaya
phir gai ek bar hi mirza ki aankh
dekhna bi uhi ye kya ho gaya
dosti kis mard se ki aaj kal
haal kya ye dushmanon ka ho gaya
mar gai main jite ji ai begama
ishq mein ghar-khoj kaisa ho gaya
kya hua chal dur ho mujh se mue
biyah mera aur hi ja ho gaya
begama sach bol tu hai kyun KHafa
kuchh to hai nuqsan tera ho gaya
kyun na ho is ruh ko ai 'jaan' sabr
aae wo dil shad mera ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.