tha kuchh to chor dil mein jo sau bar ki talash
tha kuchh to chor dil mein jo sau bar ki talash
Meer Yaar Ali Jaan
MORE BYMeer Yaar Ali Jaan
thā kuchh to chor dil meñ jo sau baar kī talāsh
kyuuñ mūñDī kaaTe raat ko talvār kī talāsh
maiñ bhī to bholī-bhālī huuñ bhole ke paas huuñ
makkār tum ho tum ko hai makkār kī talāsh
kaafī hai nek-baḳht ko bī-jān ek mard
kasbī ko roz chāhiye do-chār kī talāsh
mailā ho yā kuchailā ho de jaa.e hai mazā
hai vaz.a-dār kī na tarah-dār kī talāsh
mūñDhe pe baiThūñ kursī kī ahmaq banūñ maiñ kyuuñ
vo dil nahīñ hai ab jo karūñ yaar kī talāsh
ḳhāna-ḳharāb bāñdh ke laa.ī huuñ rāj-bī
us reḳhtī ke peT meñ dīvār kī talāsh
ḳhizrū kabhī milā nahīñ dariyā.ī nāriyal
is paar kī talāsh hai us paar kī talāsh
ai 'jān' dil maiñ bechūñgī ab kauḌiyoñ ke mol
rahtī hai mujh ko roz ḳharīdār kī talāsh
tha kuchh to chor dil mein jo sau bar ki talash
kyun munDi kaTe raat ko talwar ki talash
main bhi to bholi-bhaali hun bhole ke pas hun
makkar tum ho tum ko hai makkar ki talash
kafi hai nek-baKHt ko bi-jaan ek mard
kasbi ko roz chahiye do-chaar ki talash
maila ho ya kuchaila ho de jae hai maza
hai waza-dar ki na tarah-dar ki talash
munDhe pe baiThun kursi ki ahmaq banun main kyun
wo dil nahin hai ab jo karun yar ki talash
KHana-KHarab bandh ke lai hun raj-bi
us reKHti ke peT mein diwar ki talash
KHizru kabhi mila nahin dariyai nariyal
is par ki talash hai us par ki talash
ai 'jaan' dil main bechungi ab kauDiyon ke mol
rahti hai mujh ko roz KHaridar ki talash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.