tham tham apne ko rakhti hun bahut sa lekin
tham tham apne ko rakhti hun bahut sa lekin
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
thaam thaam apne ko rakhtī huuñ bahut sā lekin
kyā kahūñ tham nahīñ saktā mirā andar vaalā
apne koThe pe kuchh is Dhab se zafīlā ki mirī
le gayā jaan uḌā ek kabūtar vaalā
shaidī ambar ke jo aane kā ye Dar hai ki kahīñ
vo hī qissa na ho darpesh sanobar vaalā
ādmī-zāda vo 'inshā' mile un pariyoñ se
uḌ gayā hove nigoḌā jo koī par vaalā
tham tham apne ko rakhti hun bahut sa lekin
kya kahun tham nahin sakta mera andar wala
apne koThe pe kuchh is Dhab se zafila ki meri
le gaya jaan uDa ek kabutar wala
shaidi ambar ke jo aane ka ye Dar hai ki kahin
wo hi qissa na ho darpesh sanobar wala
aadmi-zada wo 'insha' mile un pariyon se
uD gaya howe nigoDa jo koi par wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.