ye dil masos ke chup bhi nahin raha jata
ye dil masos ke chup bhī nahīñ rahā jaatā
gila jo kartī huuñ chāhat kā hai mazā jaatā
lagī hai aag mohabbat kī dil meñ aa ke bujhā
dogānā jaan ḳhudā kā hai ghar jalā jaatā
jo suntā martā hai farhād logo shīrīñ par
vo bis kī gāñTh thā ḳhusrau bhī zahr khā jaatā
maiñ baat kartī jo apnoñ meñ tum se ai sāhab
zalīl hotī ye bandī tumhārā kyā jaatā
vo ġham-zadī huī duniyā meñ ai husainī jaan
ki mere haal kā hai marsiya paḌhā jaatā
ḳhudā dikhā.e na peḌū kī aañch kā sadma
ye vo julāpā hai hargiz sahā nahīñ jaatā
jo fikr hotī hai roTī kī she'r kahne meñ
burā bhalā yūñhī ai 'jān' hai bakā jaatā
ye dil masos ke chup bhi nahin raha jata
gila jo karti hun chahat ka hai maza jata
lagi hai aag mohabbat ki dil mein aa ke bujha
dogana jaan KHuda ka hai ghar jala jata
jo sunta marta hai farhad logo shirin par
wo bis ki ganTh tha KHusrau bhi zahr kha jata
main baat karti jo apnon mein tum se ai sahab
zalil hoti ye bandi tumhaara kya jata
wo gham-zadi hui duniya mein ai husaini jaan
ki mere haal ka hai marsiya paDha jata
KHuda dikhae na peDu ki aanch ka sadma
ye wo julapa hai hargiz saha nahin jata
jo fikr hoti hai roTi ki she'r kahne mein
bura bhala yunhi ai 'jaan' hai baka jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.