yun hai is dil ko do-gana ki nishani ki hawas
yun hai is dil ko do-gana ki nishani ki hawas
Rangin Saadat Yaar Khan
MORE BYRangin Saadat Yaar Khan
yuuñ hai is dil ko dogānā kī nishānī kī havas
ret meñ machhlī ko juuñ hotī hai paanī kī havas
apnī biitī hī kahā kartī huuñ maiñ rātoñ ko
dhyān qisse kā mujhe hai na kahānī kī havas
jī meñ apne use nādān samajhtī huuñ maiñ
dil meñ jo rakhtī hai us ālam-e-fānī kī havas
hai daraḳht aisā kahāñ jis ko lagī ho na havā
koī aisā nahīñ jis ko nahīñ paanī kī havas
aarzū gar hai mire dil meñ to hai 'rañgīñ' kī
lāl-joḌe kī ḳhushī kuchh hai na dhānī kī havas
yun hai is dil ko dogana ki nishani ki hawas
ret mein machhli ko jun hoti hai pani ki hawas
apni biti hi kaha karti hun main raaton ko
dhyan qisse ka mujhe hai na kahani ki hawas
ji mein apne use nadan samajhti hun main
dil mein jo rakhti hai us aalam-e-fani ki hawas
hai daraKHt aisa kahan jis ko lagi ho na hawa
koi aisa nahin jis ko nahin pani ki hawas
aarzu gar hai mere dil mein to hai 'rangin' ki
lal-joDe ki KHushi kuchh hai na dhani ki hawas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.