aaya nazar ufuq pe jo mah-e-‘aza ka chand
aayā nazar ufuq pe jo māh-e-‘azā kā chāñd
us chāñd meñ dikhā.ī diyā fātima kā chāñd
ye din haiñ ġham ke aur ye rāteñ 'azā kī haiñ
ye ahl-e-dil ke haq meñ hai āh-o-bukā kā chāñd
kahne lagā ye chāñd bhī akbar ko dekh kar
kitnā hasīn hai shah-e-karb-o-balā kā chāñd
tū hī batā sakīna ki tere chachā ko ham
hāshim kā chāñd likkheñ yā burj-e-vafā kā chāñd
māh-e-‘azā ke chāñd ko dekhā to yuuñ huā
āñkhoñ meñ aa gayā mirī ashk-e-'azā kā chāñd
girya-kunāñ hai ġham meñ kisī be-kafan ke vo
hai sogvār ab bhī kisī be-ridā kā chāñd
puurī na hogī chashm-e-tamannā kī aarzū
bāloñ ke hai hijāb meñ sharm-o-hayā kā chāñd
ai chāñd dekh apne sitāroñ ke saath saath
nezoñ ke āsmān pe hai karbalā kā chāñd
ye karbalā hai nuur kā mehvar zamīn par
is meñ chhupā hai ḳhāmis-e-āl-e-'abā kā chāñd
'mohkam' 'azā-e-sibt-e-payambar ke charḳh par
chamkegā hashr tak mirī fikr-e-rasā kā chāñd
aaya nazar ufuq pe jo mah-e-‘aza ka chand
us chand mein dikhai diya fatima ka chand
ye din hain gham ke aur ye raaten 'aza ki hain
ye ahl-e-dil ke haq mein hai aah-o-buka ka chand
kahne laga ye chand bhi akbar ko dekh kar
kitna hasin hai shah-e-karb-o-bala ka chand
tu hi bata sakina ki tere chacha ko hum
hashim ka chand likkhen ya burj-e-wafa ka chand
mah-e-‘aza ke chand ko dekha to yun hua
aankhon mein aa gaya meri ashk-e-'aza ka chand
girya-kunan hai gham mein kisi be-kafan ke wo
hai sogwar ab bhi kisi be-rida ka chand
puri na hogi chashm-e-tamanna ki aarzu
baalon ke hai hijab mein sharm-o-haya ka chand
ai chand dekh apne sitaron ke sath sath
nezon ke aasman pe hai karbala ka chand
ye karbala hai nur ka mehwar zamin par
is mein chhupa hai KHamis-e-al-e-'aba ka chand
'mohkam' 'aza-e-sibt-e-payambar ke charKH par
chamkega hashr tak meri fikr-e-rasa ka chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.