faza-e-KHak-dan se nur-paikar karbala wale
fazā-e-ḳhāk-dāñ se nūr-paikar karbalā vaale
ujāle bāñTte guzre barābar karbalā vaale
vo jis ko dekh lete haiñ nazar bhar karbalā vaale
banā dete haiñ qatre ko samundar karbalā vaale
miTāyā hai isī pādāsh meñ un ko yazīdoñ ne
ki un ke haq meñ the rahmat kī chādar karbalā vaale
mire afkār kī saarī mahak faizān hai un kā
mire haq meñ haiñ ḳhushbū kā samundar karbalā vaale
faroġh-e-dīn-e-ahmad kī hue haiñ intihā 'vasfī'
zamīnoñ āsmānoñ meñ bahattar karbalā vaale
faza-e-KHak-dan se nur-paikar karbala wale
ujale banTte guzre barabar karbala wale
wo jis ko dekh lete hain nazar bhar karbala wale
bana dete hain qatre ko samundar karbala wale
miTaya hai isi padash mein un ko yazidon ne
ki un ke haq mein the rahmat ki chadar karbala wale
mere afkar ki sari mahak faizan hai un ka
mere haq mein hain KHushbu ka samundar karbala wale
farogh-e-din-e-ahmad ki hue hain intiha 'wasfi'
zaminon aasmanon mein bahattar karbala wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.