itna baDa hai aaKHri sajda husain ka
itnā baḌā hai āḳhirī sajda husain kā
paḌhtī hai kā.enāt qasīda husain kā
īsār kī zamīñ ho ki ehsān kā falak
donoñ ke dil pe naqsh hai gauhar husain kā
sannāTā zaat kā hai ḳhamoshī husain kī
hamd-o-sanā kī guuñj hai naġhma husain kā
zinda rahegī yaad hamesha husain kī
taaza rahegā zaḳhm hamesha husain kā
'vasfī' dikhā sakegī na tārīḳh hashr tak
kirdār karbalā meñ thā aisā husain kā
itna baDa hai aaKHiri sajda husain ka
paDhti hai kaenat qasida husain ka
isar ki zamin ho ki ehsan ka falak
donon ke dil pe naqsh hai gauhar husain ka
sannaTa zat ka hai KHamoshi husain ki
hamd-o-sana ki gunj hai naghma husain ka
zinda rahegi yaad hamesha husain ki
taza rahega zaKHm hamesha husain ka
'wasfi' dikha sakegi na tariKH hashr tak
kirdar karbala mein tha aisa husain ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.