SEARCH RESULTS
Showing search results for ",rPI"
Sher MATCHES FOR ",rpi"
Sher
dil ke phaphuule jal uThe siine ke daaG se
is ghar ko aag lag ga.ii ghar ke charaaG se
Mahtab Rai Taban
Sher
zamii.n ro.ii hamaare haal par aur aasmaa.n royaa
hamaarii bekasii ko dekh kar saaraa jahaa.n royaa
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
allaah-rii jism-e-yaar kii KHuubii ki KHud-ba-KHud
ra.ngiiniyo.n me.n Duub gayaa pairahan tamaam
Hasrat Mohani
Sher
na rahe baaG-e-jahaa.n me.n kabhii aaraam se ham
pha.ns ga.e qaid-e-qafas me.n jo chhuTe daam se ham
Santokh Rai Betab
Sher
rafta rafta Gair apnii hii nazar me.n ho ga.e
vaah-rii Gaflat tujhe apnaa samajh baiThe the ham
Firaq Gorakhpuri
Sher
Shad Azimabadi
Sher
tumhaarii zaat havaala hai surKH-ruu.ii kaa
tumhaare zikr ko sab shart-e-fan banaate hai.n
Amir Hamza Saqib
Sher
vahshiyo.n ko qaid se chhuuTe hu.e muddat hu.ii
guu.njtaa hai shor ab tak kaan me.n zanjiir kaa
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
guftuguu kii tum se aadat ho ga.ii hai varna me.n
jaantaa huu.n baat kartii hai kahii.n tasviir bhii
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
allaah-rii nazaakat-e-jaanaa.n ki sher me.n
mazmuu.n ba.ndhaa kamar kaa to dard-e-kamar hu.aa
Ameer Minai
Sher
chashm-e-bad-duur ajab KHush-qad-o-qaamat hogaa
abhii fitna hai ko.ii din me.n qayaamat hogaa
Santokh Rai Betab
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
fikr-e-ma.aal thii na Gam-e-rozgaar thaa
ham the jahaa.n me.n aur tiraa intizaar thaa
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
KHudaa kisii ko giraftaar zulf kaa na kare
nasiib me.n kisii kaafir ke ye balaa na kare
Santokh Rai Betab
Sher
yaa ta.ng na kar naaseh-e-naadaa.n mujhe aise
yaa chal ke dikhaa de dahan aisaa kamar aisii
Shitab Rai Barahman
Sher
chaman me.n kaun hai pursaan-e-haal shabnam kaa
Gariib ro.ii to Guncho.n ko bhii ha.nsii aa.ii
Arsh Malsiyani
Sher
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
dekhnaa hai kis me.n achchhii shakl aatii hai nazar
us ne rakkhaa hai mire dal ke baraabar aa.iina