SEARCH RESULTS
Showing search results for "انسان"
Sher MATCHES FOR "انسان"
Sher
ko.ii hinduu ko.ii muslim ko.ii iisaa.ii hai
sab ne insaan na ban.ne kii qasam khaa.ii hai
Nida Fazli
Sher
Bashir Badr
Sher
mat sahl hame.n jaano phirtaa hai falak barso.n
tab KHaak ke parde se insaan nikalte hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
farishte se ba.Dh kar hai insaan ban.naa
magar is me.n lagtii hai mehnat ziyaada
Altaf Hussain Hali
Sher
rahtaa nahii.n insaan to miT jaataa hai Gam bhii
so jaa.e.nge ik roz zamii.n o.Dh ke ham bhii
Ehsan Danish
Sher
jis ne is daur ke insaan kiye hai.n paidaa
vahii meraa bhii KHudaa ho mujhe manzuur nahii.n
Hafeez Jalandhari
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
is daur me.n insaan kaa chehra nahii.n miltaa
kab se mai.n naqaabo.n kii tahe.n khol rahaa huu.n
Moghisuddin Fareedi
Sher
us ne chhuu kar mujhe patthar se phir insaan kiyaa
muddato.n baa'd mirii aa.nkho.n me.n aa.nsuu aa.e
Bashir Badr
Sher
ab to maz.hab ko.ii aisaa bhii chalaayaa jaa.e
jis me.n insaan ko insaan banaayaa jaa.e
Gopaldas Neeraj
Sher
shakl insaan kii ho chaal bhii insaan kii ho
yuu.n bhii aatii hai qayaamat mujhe ma.aluum na thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
duniyaa hai KHvaab haasil-e-duniyaa KHayaal hai
insaan KHvaab dekh rahaa hai KHayaal me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
haq ne tujh ko ik zabaa.n dii aur diye hai.n kaan do
is ke ye ma.anii kahe ik aur sune insaan do
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Insha Allah Khan Insha
Sher
kis qadar mahduud kar detaa hai Gam insaan ko
KHatm kar detaa hai har ummiid har imkaan ko
Zeeshan Sahil
Sher
duniyaa pe aisaa vaqt pa.Degaa ki ek din
insaan kii talaash me.n insaan jaa.egaa