SEARCH RESULTS
Showing search results for "انسانی"
Sher MATCHES FOR "انسانی"
Sher
vo afsaana jise anjaam tak laanaa na ho mumkin
use ik KHuub-suurat mo.D de kar chho.Dnaa achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
yaad rakhnaa hii mohabbat me.n nahii.n hai sab kuchh
bhuul jaanaa bhii ba.Dii baat hu.aa kartii hai
Jamal Ehsani
Sher
ko.ii hinduu ko.ii muslim ko.ii iisaa.ii hai
sab ne insaan na ban.ne kii qasam khaa.ii hai
Nida Fazli
Sher
Jamal Ehsani
Sher
log kahte hai.n mohabbat me.n asar hotaa hai
kaun se shahr me.n hotaa hai kidhar hotaa hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tamaam raat nahaayaa thaa shahr baarish me.n
vo rang utar hii ga.e jo utarne vaale the
Jamal Ehsani
Sher
'mus.hafii' ham to ye samjhe the ki hogaa ko.ii zaKHm
tere dil me.n to bahut kaam rafuu kaa niklaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Bashir Badr
Sher
Saba Afghani
Sher
mat sahl hame.n jaano phirtaa hai falak barso.n
tab KHaak ke parde se insaan nikalte hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
farishte se ba.Dh kar hai insaan ban.naa
magar is me.n lagtii hai mehnat ziyaada
Altaf Hussain Hali
Sher
sun to sahii jahaa.n me.n hai teraa fasaana kyaa
kahtii hai tujh ko KHalq-e-KHudaa Gaa.ebaana kyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Jamal Ehsani
Sher
aa.nkho.n se mohabbat ke ishaare nikal aa.e
barsaat ke mausam me.n sitaare nikal aa.e
Mansoor Usmani
Sher
rahtaa nahii.n insaan to miT jaataa hai Gam bhii
so jaa.e.nge ik roz zamii.n o.Dh ke ham bhii